Image by FlamingText.com

SHAH AST HUSSAIN الّلهمَّ صلِّ على محمَّد وآل محمَّد وعَجِّلْفَرَجَهُم

Saturday 13 August 2011


  2   3         7   8   9   10  11   12  13  14  15


Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain


        01

Khuda Ki Qasam Wahi Shaks Ali (A.S) Ka Shia Hai
Jo Apne Pait Or Shahot Ko (Haram) Se Pak Rakhay
Khushnodi-E-Khuda Ki Khatir Amaal Anjaam Day,
Khuda K Sawab Ki Umeed or Azab-E-Ilahi Se Khof Zada ho
   "Imam Sadiq (A.S)"
Ref=Bihar al-Anwar Jild 65
            02


Humara Shia Char Chezon Ka Munkir Nehi Hota
1-Meraaj
2-Sawal-E-Qabar
3-Janat Or Dozakh Ka Khalq Hona
4-Shafat
 "Imam Sadiq (A.S)"
Ref= Mizan Ul Hikma Jild 6

             03


Humary Man'ny Walon Mein Hr Chez Ho Sakti Hain
Magar 3 Aib Nehi Ho Sakty,
1-in Mein Koi Aisa Nhi Hoto Jo Bheek Mangay
2-In Mein Koi Bakhel Nehi Hota
3-Koi Aisa Nehi Hota Jo Lawat Karwaye.
   "Imam Sadiq (A.S)
Ref= Khisal Hadees 137


              04


Rasool (S.a.w.w) Farmaty Hain
Be Shak Humara Shia Woh Hai Jo
Humari Pervi Kary,
Humary Naqsh-E-Qadam Par Chalay,
Or Humara Kirdar Ko Apnaye,
Ref= Mizan Ul Hikma Jild 6

                  05

Jis Ka Dil Tanhi Or Khalot Mein
Khof-E-Khuda Na Rakhy Woh Humary
Shion Men Shamil Nahi Hain
"Imam Kazim (A.s)
ReF=Basair ul darjat


                 06



Agar Humare Shia Par koi Museebat-O-Pareshani
Na Aaye to Woh Samjh Le Ke Humari Us Se Koi
Wabastagi Nehi Rahi.
  "IMAM BAQIR A.S"
     REF: KITAB UL MOMIN
              07


 Sabar Ek Aisi Sawaari Hai
  Jo Sawar Ko Kabhi Girnay Nehi Deti
     "IMAM HUSSAIN A.S"

              08


  Dunia Ko Jeetna Chahty Ho To
    Awaz Mein Nrmi Paida Karo
    
        "IMAM ALI A.S"

              09


 Jab Tumhain Pata Chaley K Koi Momin
 Is Duniya Se Wafat Pa Gya Hey Tu Us ki
 Namaz-E-Wehshat-E-Qabar Maghrib K Baad
 Ada Karo, Or Jab Tum Is Duniya Se jao Gey
 Aur koi Tumhari namaz nehi Padhey Ga
 Tu Mein IMAM-E-ZAMANA A.S Tumhari Namaz
 Ada karo Ga.
   
        "IMAM-E-ZAMANA A.S"

           

   10

 Ibadat Aisi karo Jis Se Rooh Ko
 Maza Aaye Q K Jo Ibadat Dunia Mein
 Maza Na De,
 Woh Akhrat Mein kia Jaza Degi
 Janat Amal Se hasil Hoti Hai
 Umed Se Nehi.
  "IMAM ALI A.S"           
                  11 


 Acha Ikhlaq Gunah Ko Is tarha Mita Deta Hy
 Jis Tarha Suraj Baraf Ko Pighla Deta Hy
  
   "RASOOL-E-AKRAM S.A.W.W"
             
12


 Kisi Jo Pany KI Tamnna Mat Kro
 Balkah Is Qabal Ho Jao K Loag
    Aap Ko Pany Ki Tamnna Kary.

    "IMAM ALI A.S"


              13

 Bohat Muqadas Hai Mere pyare Nabi(P.B.U.H)
 K Qadmon ki Dhool,.,
 Kaash K Iss Dhool Ka Koi Zarra Meri Qabar
 Ki Zeenat Ban Jaye.
          
                  14


 Subah Ki Neend Insaan K Eraadon ko Kamzor
 Kerti Hay
 
  "IMAM ALI A.S"         
                 15

 
  Ya Rab IMAM-E-ASR Ki Ziyarat Nasib Ho
  Mujh Ko Bhi Panjtan Ki Shfat Nasib Ho
  Mola Ki Trah Ibadat Mein Shahadat Nasib Ho
  Zikre Ghum-E-Hussain Mein Rahat Nasib Ho
  Sajdon Ka Nishan Meri Khanda-e-Jabee Mein Rahe
  Qabr Na Sahi Pr Ruh Janat-Ul-Bki Mein Rahe
                  16          

 
  Khabrdar Gunahon Par Khush Na Hona
  Kyun K Gunahaon par Khush Hona
  Gunah Karny Say Zayada Azeem Hai
  
    "IAMA SAJJAD A.S"
    REF: AQWAL 14 MASOMEEN

               17

 Gham sehtay Sehtay Thak Gaye
 Qarar Chahye,
 Ab Zulm kay sar pr Teri
 Talwaar Chahye,
  Iss Khouf Kay Mahol Say
  Tang Aa Gaye Hn,
  Humain Ae Waris-E-Haider
 Teri Sarkar Chahye

              18


 Agar Dukhon Ka Dria Uboor Karna Ha
  Tu Ansoon Ko jazab Krny Ka Treeqa Seekho
 
     "IMAM ALI A.S"

              19


Meri Kismat Me Bhi Asea Koi Sajda Kar De,
Jo Mera Sare Gunahon Ka Mudawa Kar De,
Sari Duniya Se Chura Kar Mujhe Apna Kar De,
Meri Mitti Ko Khudaya Sona Kar De,
Me Tera Chahne Wala hun Magar Hy Hasrat
Jin Ko Tu Chahta Hy Mujh Ko bhi Wesa Kr De
              20


Chaltay Chaltay Manzil Pe Pohancha
Manzil Pe Likh Tha   "Ya Ali Madad"
Chaltay Chaltay Malang Mila
Malang Ne Kaha "Ya Ali Madad"
Chaltay Chaltay Paon Me Kanta Laga
  To Munh Se Nikla "Ya Ali Madad"
Kanta Phool Bana
   Phool Ne Kaha "Ya Ali Madad"
Chaltay Chaltay Rastay Me Munafiq Mila
Munafiq Ne Kaha Tujkhy Kis Ne Sikhaya
       "Ya Ali Madad"
Me Hans Kar Bola Paida Hotay Waqt
Roya Tha To Maa Ne Kaan Me Kaha Tha
        "Ya Ali Madad"

              21

Her Jhoot se Bacho Chota ho Ya Bara
Mazaq me Ho Ya Sanjida.
   "IMAM SAJJAD A.S"

              22


Ba-Shaoor Or Ba-Zameer Logon K Beech
Dosti Ka Rishta Khoon Khoon K rishton Se
kahin Ziada Qareeb Or Gehra Hota Hay
         "IMAM ALI A.S"   
                  23

 momin,Momin Se Isi Tarah taskeen pata He
Jese Piyasa Thanda Pani Se.
    "IMAM JAFFAR SADDIQ A.S"
      Ref: Usol-e-Kafi
        V#4 P#188   
      
                   24

Esa To Koi Sher Kahun Me Hyat Me
Jo Likh sakun Apni Beyaz-E-Nijat Me
Yeh Kis Ne Keh Dia K Me Tanha Lehad me Hun
Khushbu gham-E-Hussain Ki Laya HUn Saat Me

              
 25

Ek Naizy Pe Rida Thi
Ek Naizy par Sar Chalta Raha
Behan Ki Chadar Ka Saya
Bhai pe Parta Raha
Aag To Khud Bujh gai Thi
Raat Ko Khhayam Ki
Per Jigar Abid A.s Ka
Sari Zindagi jalta Raha


              26



Jab Kisi Ka "Khaloos" Dekho To Uski
"Qadar" Karo
       AUr
Jab  Kisi Ki "Nafrat" Dekho To Apne
"Khaloos" Se Us Ki "Nafrat" "Mita" DO

      "IMAM ALI A.S"



              27


Jo Shaks Tumhari Nigahon Se Tumhari
Zaroorat Ko Samjh Nehi Sakta,
Us Se Kuch Mang Ka Khud Ko Sharminda Na Karo

        "IMAM ALI A.S"


              28


"Gareeb Woh Hai Jiska Koi Dost Na Ho"

          "IMAM ALI A.S"

              29

Allah Se Mile Gi "LINE"
To Tabiat Ho Gi "FINE"
Dil Ko Mile Ga "CHAIN"
Phir Zindgi Ho Gi "SHINE"
Is Pe Aye Ge Islam Ka "DESIGN"
Bus Yeh Hai Aaj Ki "HEAD LINE"
Agar Gunah Ko Lo "LIGHT"
To Qabar Ho Gi "TIGHT"
Phir Farishte Karein Ge "Fight"
Dozakh Mein Jalen Ge Guunah Gar "DAY N NIGHT"

              30


Jin Ko Sajdon Mein Ronay Ki Aadat Ho
Woh Kabhi Muqadder Per Nehi Roray.
   "IMAM ALI A.S"
            
  31

Dunya Mein Logo Kay Aaamal
Akhirat Mein Un Ki Ankho Kay
Samnay Ho Gay.
     "IMAM ALI A.S"

             32



“Shabbir (A.S) ka naukar bhi hun, khata kaar bhi hun,
Dozakh men na jaunga, gunah gaar bhi hun;
Gar dozakh men ley jaogey farishton hum ko,
Aag ro ro ke bujha dunga, azaadar bhi hun.”


             33



“Maa ki aaghosh mein wo jam piya hai mein ne,
Lab hilay tau Ali (A.S) naam liya hai mein ne;
Aur mili quwwat-e-junbish jo meray haathon ko,
Goad mein maatam-e-Shabbir (A.S) kiya hai mein ne.”

             34



"Dozakh ko har tarah ka gunaagaar chahye,
Jannat ko faqat Sheh (A.S) ka azaadaar chahye;
Bund hoti hain, khulti hain, Asghar (A.S) ki ungliyaan,
6 maah kay Ali (A.S) ko bhi talwaar chahye."

             35



"Ghalib, mai-nosh honay par gar Jannat na ja sakoon,
Hasrat yehi hai kay baad-e-marg kuch kaam aa sakoon;
Eendhan bana dey mujh ko Jahannum ka, aye Khuda,
Har dushman-e-Ali (A.S) ka kalaija jala sakoon


             36


"Hum loag agar haq kay paristaar na hotay,
Ye khoon kay pursay sar-e-bazaar na hotay;
Rugg-rugg mein namak Fatima Zehra (S.A) ka rawaan hai,
Phir kesay humaray bachchay aza-daar na hotay?!"


              37



JAGAH JAGAH PE MAIN KARKE HUSSAIN KA MATAM,
 MUSAFIRAT KO BHI APNA WATAN BANA LUNGA,
 FARISHTE NAUHA PADHENGE KARUNGA MAIN MATAM,
 LAHAD ME JAA KE BHI EK ANJUMAN BANA LUNGA.

             38


Hum 'ALI' walay hain. Sun lain yeh zamaney walay.
 Raakh ho jayain gay khud hum ko mitaney walay.,
 YA ALI keh k guzar jatay hain tufano se
 PARCHAM-E-HAZRAT-E-ABBAS(AS) uthany walay.)


            39

DIL E BATOOL S.A KI TASKEEN HAI AZADARI,
 YE TUM SE KIS NE KAHA TOHEEN HAI AZADARI?.
 ZAMANY BHAR KO SIKHA GAI ZAINAB S.A.
 HAMARI RASM NAHI DEEN HAI AZADARI..


             40


Aisi Basi Alam me Alamdar ki Mehek !
Kaabay me Jese Haidar-e-Karrar ki Mehek !

Aa kar Meri Lehed me Farishton ne Ye Kaha !
Sab se Juda Hy Sheh k Azadar ki Mehek !

             41


MUJH KO BEHLOL SA DEWANA BANA DE YA RAB
 KULL E EMAAN KA MASTANA BANA DE YA RAB
 HAR JAGA MATAM E SHABIR A.S KI GOONJAY AWAZ
 SARI DUNIYA KO AZA KHANA BANA DE YA RAB.
 (ELLAHI AAMEEN)

        
             42



Mujhe Ali Ki Zarorat Hai Her Kadam Ya Rab
Mujhe Ali K Sewa Koi Aasraa He Nahi

Bataiye Kis Tarha Jannat Main Aap Jain Gain
Dar-e-Ali K Sewa Koi Raasta He Nahi


             43


Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai


             44



"Marzi-e-Rab Thi Muhammad(saww) Ny Banaya Tha Alam
Shan Sy Khybar Men Bhai Ko Thamaya Tha ALAM
Phr Shah-e-Lolaak Ny Madiny Men Sajaya Tha Alam
Karbala Pohnchay to Ghazi(as) Ko Thamaya Tha Alam
Sham Ki Raah Me ABID(AS) Ny Uthaya Tha ALAM
Qila-e-Sham Py Zainab(sa) Ny Lagaya Tha Alam
Zalimon Jab Tak Tum Hum Pr Sitam Dhao Gay
Har Mohally k Makanon pY Alam Paao Gay.

            45


Mola ka malangaan ki taqdeer hay Jannat!!!!
Or un k malango ki bhi jageer hay Jannat!!!!
Jannat jissay chaye maangay Dua wo!!!!
Apne liey to Majlis-e-Shabeer(as) hay jannat!!!!

             46



“Apni taqdeer jagatay hen tere matam se
Khüd ki raah pe jatey hen terey matam se
Apne izh?r-e-aqeedat ka saleeqa ye hai
Hum naya saal manatey hen teray matam se.”

            
             47


Jo Iman Itna Kamzor Ho K
Chal Kar Masjid Tak Na Le Jae
     "Mohsin"
Woh Bhal Qayamat K Din Jannat Mein
Kese Le Jay Ga


             48



Chhor Doon Gar Nara-e-Haider Tou Kiska Naam Loon..?
Waqt Ka Marhab Uthaya Sar Tou Kiska Naam Loon..?
Jab Likhoon Talwar K Johar Tou Kiska Naam Loon..?
Samne Ho Dare Khaiber Tou Kiska Naam Loon..?
EK Muhammad EK Ali Ek Fatima DO Un Ke Laal
Koi Nahi Jab Inse Behtar Tou Mein Kiska Naam Loon..?

 
             57


Pani Ki Shikst Ha Pyas Na Buhja Pana
Chulu Me Chote Se Khd Ko Na Bhr Pana
Har Gya Pani Khd ko Kamtar Smjh Kr
Jit Gya Abbas a.s Ka krdar-e-Wfadarana

          
   58

seeny Se Hmare Kahin Emaan Hai Ghayab
Muslim Hain Ya Kafir, Yehi Pehchan Hai Ghayab
Dunia ki Lazaton Me Bs Mashghol Hain Hum Sb
Or Dil Se Rab-e-pak Ka Farman Hai Ghayab
hum Samney Kaise Bhala Jayn ge Khuda K,
Jab Aakhrat Ka Sabhi Saman Hai Ghayab

             59


Jab Tawajuh Ka Markaz Apni Hi Zaat Ki
Khoobiyan Houn To Insaan Apni Islaah Mein Sust
Aur Tanqeed Karney Main Chust Ho Jata Hay

"IMAM ALI A.S"


             60



"Us Khuda Say Dartay Raho
jis Ki Sifft Yeh Hay K Agar Tum
Baat Karo Tu Woh Sunta Hai

Aur Agar Dil Mein Rakho Tu
Janta Hy.

"Imam Ali A.S"

             61


"Shab-e-Juma Me Gunah Karne
Se Daro Kyun'Ke Is Me Gunah Ki
Sza Bi Zyada Hua Karti Hai Jesa
K Nekiyon Ka Swaab Is Me Zyada
Hota Hai"
Imam Sadiq A.S
Ref: Mfatih

             62


"Namaz Haqeqat Me Mohabt'e Ali A.S
Ka Naam He Jisne Mohabt'e ALI A.S
QaimKar Li Goya Usne Namaz Qaim Kar Li
IMAM JAFFAR SAADIQ A.S


             63


"Naam-E-Ghazi Se Khushbu-E-Wafa Aati Hai
Un K ROZE Se Ya Hussain Ki Sada Aati Hai
Jab B Aathe Hain Hum Abbas K Parcyham Tale
Asa Lagta Hai K Janat Se Hawa Aati Hai

             64


"Gunahon Say Tauba Karny Wala Aisa Hai
Goya Us Nay Koi Gunah Nahi Kiya

"Hazrat Imam RAZA (A.S)"
Ref: Aqwal 14 masomeen

             65


"Jis Ko Arbab-e-Nazar Haq Ka Wali Kehtay Hain,
Sar ba Sar Waqif-e-Israr Jali Kehtey Hain
Jisko Dooba Hua Suraj Bhi Palat Kar Dekhey
Hum Usey Apney Aqeedy Me ALI A.S Kehte Hain


             66


"Madad Q Mangtay Ho Galib
Auron K Darbar Se
Woh Koun Sa Kam Hai Jo
Hota Nehi Tere "Parwardigar" Se


             67


Zindagi K Toofano Ka Sahil Hai Namaaz
Dil K Armano Ki Manzil Hai Namaaz
Qabar Ban Jaigi Jannat Agar
Mout Aane Tak Saath Rahe Namaaz

             68


Apni Zaban Ko Naram Guftgo
Or Salam Ka Aadi Banao
Is Se Tumhary Dost Zada Or
Dushman Kam Ho Gay


             69


"Aetbaar  
  or
Yakeen

2 Aisey Prindey Hain K Agr In Main Se
1 Bhi Urr Jaey To 2sra Khud Hi Urr Jata Hai"

"HAZRAT ALI" a.s

              82


KH?TM-UL-??iM? M?L? iM?M-E-Z?M?N?<aj'frj> Ka Farman-e-Pak Hy;
"
Mere Zahoor K Liye SH?RiK?-TUL-HUSS?iN BiBi P?K Z?iN?B<s'a> Ka Wasta Dia Kro."

Momineen Se Guzarish Hy K Dua Ki QaboLiat K Liye
iM?M-?L-?SR<aj'frj> Ko
MUS?FiR?-E-SH?M
S?Ni-E-Z?HR?
UMM-UL-M?S?'iB
M?LEEK?-TUL-HiJ?B
MUH?FiZ N?SL-E-iM?M?T
BiBi P?K SYED? Z?iN?B<s'a>
Ka Wasta Dia Kren iNSH?LL?H Tamam Duaen QabooL Hon Gi.
"
Baraey Azmat-e-Q?iM-E-??L-E-M?H?MM?D Aor S?Ni-E-Z?HR?<s'a> BuLand Tr S?LW?T..!!

              83


FARMAN E HYDER A.S

"Dost"Us Waqt tak "Dost"Nahin ho sakta,
Jb tak k Woh Apne "Dost" ki izzat ka khayal Us ki Gair Mojudgi men na Rakhy
"MOULA ALI" a.s


              84

Bint e Ali , Ali ki tarha sarfaraz he.

ZAINAB s.a Khuda ki shan Muhammad ka naaz hain.

ZANAIB s.a  raza e sabr kijaiy Namaz he.

ZAINAB S.A NABI s.a.w.w  ke Deen ki Ummar e daraz he.


              85

?S-S?L?M
Y? MOL? HUSSAIN MAZLOOM
<a's>
*"*
'Naam-e-Hussain'<a's> Hashar tak Abad Rahe ga.
-
Barbad tha yazed wo barbad Rahega,
-
'Hussain' <a's>Tare khoon K her Aik Qatre se,
-
'Gulshan' mare 'Emaan' ka Abad Rehega.

             
Agar Tum Se Koi Poochay
       ....Batao....
Zindagi Kia Hy
   ...Tu....
"Hatheli Pe Zara Se Khaak Rkhna
Or Urra Dena"

"Mola Ali A.s"


             70


Apna Sar Oncha Rakho K Tum Kisi Se Nehi Darte
Lekin Apni Nigahain Nechi Rakho Ta K Pata Chaly
K Tum Ba Izat Ghraney Se Taluk Rakhte Ho

"Mola Ali A.s"
    
             71



"Khamoshi Ki Ziadati Waqar Ko Barha Deti Hay
Ref: Nehjul Israr J#1 Pg#70

             72



Mazah Haibat Ko Khatm Kr Deta Hia
oR Khamosh Insan Ki Haibat Ziyada Hoti Hy

Fursat Bohd Jald Khatm Hoti Hy
Or Boht Dair Me Plat Kr Aati Hy

"Mola Imam Hassan A.s"

             73


"Dunya Mai Kabhi Kisi Ach'che Insaan Ko Talash
Mat Karo Bul k Khud Ach'che Ban Jo
Ho Sakta Hai Tumhaare is Amal Se Kisi Or Ki Talash
Khatam Ho Jaye.

"Mola Imam Ali"

              74


Sajde Me Mehwe Raz Thy Jab Be'Niaz se
Bethe Hussain Pushte Muhammad Pe Naz Se
Sajde Ko Tool Deke Ye Batla Gae Rasool
Logo Mere Hussain HyAfzal Namaz Se

             75


Jo kisi Momin Ki Karb O Bichaini Ko
Dour Karay Khuda us Ki Dunya O Akhrat
Ki Baichaini Ko Dour Karta Ha

"Imam Hussain"

             76


Jo Ehlebait Se Ranjish Ki Bhol karta Hy
Karor Sajde Kare Sab Fuzol Karta Hy
Ali Ka Nam Le Jo bhi Khush Hokar
Khuda Bhi UskiEbadat Qubol Karta Hy

             77


"Neik Aurat Jannat Ke Phoolo Mein Se
EK Phool Hai"

"Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W.W"
Ref: Tehzibul Islam P# 139

             78


"Agar koi Shuks Pani Peetay Waqt Imam
Hussain A.S K Qaatil Pr Laanat Karay
Or In Ki Pyaas Ko Yaad Karay To Allah
Taala Isay  (aik Laakh) Ghulaam Azaad
Krnay Ka Sawaab ataa frmata Hai

"Imam Jaafar Sadiq A.S"
Ref: Kaamil Ul Zyaaraat P# 222


              79


Aey Logo mughy tmhary bary main sab sy ziada 2 baton ka dar hy.
Ek Khowaheshon ki pervi aur docry omedon ka phelao.

Khowaheshon ki pervi vo chez hy jo haq sy rok dyti hy.
Aur
Omedon ka phelao aakhrat ko bhola dyta hy.

HZRAT MOLA ALI A.S

Nehjlblaga
p#175

              80

Hmary Shia Hmary Ehkamat Ko Manty Hain,

Hmary AQwaaL Par AmaL Krty Hain,

Hmary Dushman Ki MukhaLfat Krty Hain,

Jo Aisa Nahi Krta Wo Hum Mein Se Nahi.

Imam Raza(a.s)

              81
 86

Ye Daikho Mera Kitna Haseen Hai Ali.as

Lamyulad walam Yulad K Ghar me jis Dum Aya
Lab Yaquti choom K Usdum Sarwar nay Farmaya

Ye Daikho Mera Kitna Haseen Hai Ali.as

Adam,Noh,Mosa,Esa yahyah Daikhnay Aye

Dekho to Yoqoob Nabi Yousuf ko Saath Hain Laye

Ye Hai Shair E Illahi Dekho Iski Angrae
Dekho To Pak Kalae Hai Hatho Me Khudae

Bari Bari Nabiyo Ko Jab Sarwar Nay Bulwaya

Daikh K Chehra Wajhullah Ka Yousaf Hai Sharmaya

Ye Daikho Mera Kitna Haseen Hai Ali.as...!

              87

"NAMAZ" KAB KAAM AYE GI?

"FAJAR"
Mrtay Waqt,

"ZOHAR"
Qabar Mein,

"ASAR"
Munker Nakir K Sawalat K Waqt,

"MAGHRIB"
Hisab Kitab K Waqt,

"ESHA"
Pul Sirahai?
            
              88    


Jab bhi ABBAS a.s k ALAM ki hawa aegi

Srf Thndk hi nhi khushboo e wafa aegi

Aur tum shaheedo k Mazarat per jao to sahi

Tum ko har Qabar se Matam ki sada aegi


              89


Isliy krte hain Hum Khak-e-Shifa Pr Sajda

Hum ko MaLom hy Mitti Mai Lahu kska hy

Matm-e-SHEH ko Rokne WaLe tu ye bta

Hum trfdar hain SHABiR-as k tu kska hy.


              90


Khuda apko 1 aisa ghar de,

Zikre Husain a.s jahan subh sham ho,

Ho zohore Mehdi a.s tu 1 shab,

Ap k ghar me unka Qayam ho.
AMEEEEEN.

              91


Jab se dar-e-HUSSAIN pe qurban ho gae.

jitne b imtehan the aasan ho gae

kuch dushman-e-RASOOL dekhe aise b hum ne.

jab kuch na kr sake to musalman ho gae..

              92

Jab tumhy khushiyan milny lagain to 3 cheezon ko kabi na bholo.

1-Maalik ko
2-Us ki  makhlooq ko
3-apni asliyat ko.,

Hazrat ALI (A.s)


              93


KHUSHI OR GHUM KA MAYAR,

Hazrat ALi(a.s) Farmaty Hain,

Allah TaLa Ne Zamen Par Tawajah Ki Tu Humein Bar Guzeda Kia,

Or Hmaray Liye Aisa Garoh Qarar Dia Jo Hmari Nusrat Karta Hai
Wo Hmari Khushi Mein Khush Hoty Hain Or Hmary Ghum Mein Mein Magmom Hoty Hain,

Wo Apni Jan Or Apna MaaL Hmari Khatir Nichawar Kr Dety Hain,

Ye Hum Se Hain In Ka Rukh Hmari Janib Hai,

Or Wo Janat Mein Bhi Hmary Sath Hon Gay.

Ref: Ali (A.s) Ke Shia

              94


HAMARE QAAIM<aj'frj> k zhoor se pehle
kuch dar ( khof )
bhook
amwaal main kumi
amwaat
samraat or mewa jaat zaaya hon ge
is doraan sabar krne walon k liye bashaarat hai

HAZRAT IMAM JAAFAR SADIQ A.S
Ref
Aalaam ul wara
page # 627

             95


Na Janay Khubsoorat Kis Qadar Tha Wo ?Li'Z?D?<a's>

Farishtay Dekhnay Aatay Thay Uss AHSAN NAMAZi Ko

Jaha'n Pe Q?SiM-?-?KB?R, S?JJ?D Jaisay Thay

Waha'n Q?MR-E-B?Ni H?SHiM Kaha Jata Tha GH?Zi Ko.

              96


Hassad Se Parhez Kro Q K iska Asar Tum Me Zahir HoGa Aor Tumhary Dushman Me Be-Asar HoGa.
"
Hassad Naikio'n Ko Mitanay WaLa Aor KHUD? Ki Narazgi Paida Krnay WaLa Hy.
"
Dunya 1 Bazar Hy Jis Me Kuch Logo'n Ko Faida Aor Kuch Logo'n Ko NuQsan Hota Hy.
"
Jo Shaks KHUD? Ki Taraf Se Waziha DaLeeL Rakhta Ho Wo Dunya K Hr Masa'ib Ko Aasan Smajhta Hy Chahay Us K Tukray Kr Diye Jaen.

              97
Hazrat Imam ALI NAQI (as) nay farmaya:

"Jo KHUDA ki ata'at kray usko makhloq ki narazgi say nahi Darna chahiay,
lekin jo KHUDA ko naraz krday usko yaqeen rakhna chahiay k makhloq us say zaroor naraz hogi."

Tohfal Aqol pg482

              98


Aye ALLAH" Her KHOBSORT Din K MALIK !

Hum kamzor hen,
"TU" taqat wala hai,

"Hum aajiz hen,
"TU" be niyaz hai,

Ay "ALLAH"!

Hum Mangtay hen,
"TU" Deta hai,

"Hum mujrim hen,
"TU" Shahensha hai,

"Tuje" teri
Shan-e-Rahemi-O-kareemi ka waasta,

Hum pe karam farma,

Q k hum kisi imtihan
Or
Azmaish k qabil nhi hen,

Ay "ALLAH" !
"TU" Muaf karne wala hai

Or

Mafi ko pasand krta hai,

Hamen b Muaf farma,
    "*AMEEN*"


              99


Kisi dost ko fazool na samjho.
Q K
Jo darakht phal nahi deta WOH       saaya zaroor deta hai...

Hazrat ALI (A.S)


              100.

"Jannat k 8 my se 5 drvazo'n sy hmary shia o muhib dakhil hongy.
Mola Ali a.s

Ref:-Bihaar ul anvaar
V#2
PG#206