Image by FlamingText.com

SHAH AST HUSSAIN الّلهمَّ صلِّ على محمَّد وآل محمَّد وعَجِّلْفَرَجَهُم

Sunday 8 May 2011

 

  2   3         7   8   9   10  11   12  13  14  15

 

 

Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain


Jise Bhi Roza e Abbas ka Deedar HoJaye






Jise Bhi Roza e Abbas ka Deedar HoJaye


HAqeeqat me Usi Ko Khuld Ka Deedar Hojaye


Me Samjhoonga Mujy Har Marz Se Doori Mayassar Hai


Mera Dil Ishq E Ghazi Me Agar Beemar Hojaye






 

Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai

Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai,
Nisbat har ek IMAM ko NOOR-e-JALI se hai,
kul ikhtiyaar se diye HASSAN O HUSSAIN ko,
Deta KHUDA zroor hai milta ALI se hai.
 

Hussain Teri Ataa Ka Chashma







Hussain Teri Ataa Ka Chashma
Dilo'n K Daman Bhigo Raha Hy


ye Aasman Par Udaas Badal
Teri Mohabbat Main Ro Raha Hy


Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala


Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy ...
 

MAIN HUSSAIN SAY HOON AUR HUSSAIN MUJ SAY HEY







HAZOOR (S.A.W) NAY FARMAYA


MAIN HUSSAIN SAY HOON AUR HUSSAIN MUJ SAY HEY


HATOON-E-JANNAT SAY FARMAYA


AYE FATIMA HUSSAIN KO RONAY NA DIA KARO. JUB YE ROTA HEY TU MUJHAY TAKLEAF HOTI HEY




JIS DIN NAWAS-E-RASOOL KARBALA K MADAN MAIN SHAHEED HOWA HO GA US DIN HUSSAIN K NANA KO KITNI TAKLEAF HUI HO GI.
 

Kul AMBIYA Ki Wafa Ko

Kul AMBIYA Ki Wafa Ko
HUSSAIN Kehte Hyn


KHUDA Ki Khaas Ada Ko
HUSSAIN Kehte Hyn


yazeed Naam Hy Dunya Ki
Kul Nijasat Ka


Taharato'n K KHUDA KO
HUSSAIN Kehte Hyn ...
 

Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega

Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega
Haan Faqat Naam-e-Hussain Ibn-e-Ali Reh Jayega . . .
 

Ek Din Barray Ghroor Se Kehnay Lagi Zameen

Ek Din Barray Ghroor Se Kehnay Lagi Zameen
Aya Meray Naseeb Mein Parchum HUSSAIN Ka.!!


Phir Chand Ne Kaha Mere Seenay K Daagh Dekh
Hota Hai Aasmaan Pe Bhi Maatam HUSSAIN Ka.!!

Aashoor ko diye se hawa bool rahi ha,






Aashoor ko diye se hawa bool rahi ha,
bujh kar bhi tum main rooh e baqa bool rahi ha,
aawaz di chiragh e imamat k noor ney,
Imran k lahoo ki zia bool rhi ha,






 

Aankho'n k Sahilo'n







Aankho'n k Sahilo'n
Pe Hy Askho'n Ka
Ek Hujoom


Shayad
GHAM-E-HUSSAIN
Ka Mausam Qareeb Hy ...
 

Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main







Kuch barhami hai zara is noor-e-ain main
Milta hai iztiraab yunhi dil k chain main
Selaab dekhta hoon tou ata hai ye khyal
Pani bhatak raha hai talash-e-HUSAIN main
 

KABHI DEKH APNE KHAMEER MAIN KABHI POOCH APNE ZAMEER SE







TERE DIL MAIN KAISI GIRAH PARI TUJHAY US SE ITNA HASAD HAI KYUN?


JO NABI(S.A.W.) KI AANKH KA NOOR HAI JO ALI KI ROOH KA CHAIN HAI


KABHI DEKH APNE KHAMEER MAIN KABHI POOCH APNE ZAMEER SE


WO JO MIT GAYA WO YAZEED THA, JO NA MIT SAKA WOH HUSSAIN HAI

 

in K Sajdo'n Se Munawar Hai Jabeen-e-Aftab







in K Sajdo'n Se Munawar Hai Jabeen-e-Aftab


Mere Harfo'n Ki Ibadat Un Khuda Walo'n K Naam


Meri Sheh-rug Ka Lahoo, Nazar-e-Shaheedan-e-Wafaa


Mere Jazbo'n ki Aqeedat Karbala Walon K Naam. . .
 

Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se







Saba Bhi Guzry Jo Karbala Se
Tou Us Ko Kehta Hy Arsh Wala


Tu Aur Dheery Guzar Yahan Pr
Mera Hussain So Raha Hy

 

Sar gair k Aage na jukane wala













Sar gair k Aage na jukane wala


Aur Nezey pey bhi Quraan sunaney wala


Islam se kya poochte ho kon Hussain


Islam ko Islam banane wala . . .

Tareekh de rahi hai ye awaaz dum ba dum










Tareekh de rahi hai ye awaaz dum ba dum


Dasht-e-sabat-o-Azm hai Dast-e-Bala-o-Gham


Sabr-e-Maseeh wa jura’at suqraat ki qasam


Is rah main hai sirf ek insaan ka qadam


Jis ki rago’n mein Aatish-e-Badr-o-Hunain Hai


Us soorma ka isme girami ''HUSSAIN'' Hai. . .





 

Lut k abaad hai ab tak wo jo ghar kis ka hai

Kat kay bhi sab se jo ooncha hai wo sar kis ka hai


Lut k abaad hai ab tak wo jo ghar kis ka hai


Takht walon ne muar'rikh bhi khareede honge


Zikr dunia main magar shaam-o-seher kis ka hai
 

Muharm'ul'Haram





10s
Muharm'ul'Haram
Ko Gusl Kare
To Tmaam Saal
Insha ALLAH
Bemaryon Se
Aman Mein Rahe
Ga Q-K Es Din
Aabe Zam Zam
Tmaam Paniyon
Mein Pohnchta
Hai.


Tafseer
Rooh
ul
Byaan
 

Maqsad-e-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga









Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga


Maqsad-e-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga


Yaad Ker K Jo na Roya Karbala Walon Ki Pyaas


Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga
 

Krbala K Jaan









Krbala K Jaan
Nisaroon Ko
SALAM
Fatima Zahra K
Pyaroon Ko
SALAM
Jo Hussaini
Qaflay Mein
Thay Shareek
Kehtay Hain
Attar
Saroon Ko
SALAM
 

Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De







Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De


Tabeer Me ''Imam'' Ka Jalwa Dikhayi De


Aye ! ''Ibn-e-Murtuza'' Tere Saamne


Suraj Bhi Ek Chota Sa ''Zarra'' Dikhayi De
 

Baatil k Saamne Jo Jhukaye Na Apna Sir.







Baatil k Saamne Jo Jhukaye Na Apna Sir. . .


Samjho K Us K Zehan Ka Malik Hussain Hai . .

Phir Aaj ''HAQ'' K Liye Jaan Fida Kare Koi








Phir Aaj ''HAQ'' K Liye Jaan Fida Kare Koi


Wafa Bhi ''JHOOM''Uthe Yun Wafa Kare Koi


Namaz ''1400 Saalon'' Se Intizar Main Hai


''HUSSAIN'' Ki Terha Mujh Ko Adaa Kare Koi . . .





 

Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan







Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan


Paani Phirta Hai Talash-e-Hussain Main . . .
 

Hasraton ki akhri manzil





H:Hasraton ki akhri manzil


U:Ummidon ki panah gah


S:Sajda-e-Ishq ki intaha


S:Sabar ki intaha


A:Akhirat main bakhshish ka wahid rasta


I:Insaniat ki Darsgah


N:Nawasa-e-Rasool(S.A.W)
 

Of the attributes of the Prophet







Of the attributes of the Prophet, the perceiver was Hussain,


Of the holiness of the Prophet, the inheritor was Hussain,


Of the secrets of nature, an evidence was Hussain,


Of providence, the best creature, in existence was Hussain,


For shaping out the universe, in the best of Mould,


With the point of his eyelash he measured life’s gold




[Josh Malihabadi]
 

King is Hussain, King is Hussain







King is Hussain, King is Hussain,


Religion is Hussain, The protector of Religion is Hussain,


Who gave his head, and not his hand to hand of Yazid,


Verily Hussain is the foundation of "La'ilah.”




[Hazrat Khawaja Moin-ud-Din Chishti Ajmeri]
 

As ''Aashura'' Is Going To Come.







As ''Aashura''
Is Going To Come. . .
As We Know Its The Day When IMAM Hussain (A.S) Got The Martyrdom In Order To Save The Religion. . .

We Have Got The Msgs On Each & Every Ocassion . . . So Why Cudn't It Be . . . ? ? ?
I Wish That Members Who Want To Share Wid Us
Do Share If U Have Got AnyThing In The Honour Of Hazrat Imam Hussain (A.S). . .
Wether It Be Quotes' Narrations' Couplet (Shers)
N If Any Body Has Any Problem Wid It So Pls Tell Me. . .

No comments:

Post a Comment