Image by FlamingText.com

SHAH AST HUSSAIN الّلهمَّ صلِّ على محمَّد وآل محمَّد وعَجِّلْفَرَجَهُم

Friday 13 May 2011


  2   3         7   8   9   10  11   12  13  14  15



Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain

    501

itni buland dekh lo shan BATOOL S.A he
shohar bana IMAM A.S to baba RASOOL SW he
dar par gira tara ye paigam mil gaya
aqad FATIMA S.A KHUDA ko ALI A.S se qabool he

             502

Kirdar ki taqat se zamane ko hila do
Tum syed ZEHRA (AS) ki duaon ka sila ho
Tum mola e ABBAS k parcham ki baqa ho
Tum nara e taqbeer ho hall min ki sada ho
Hassrat se tumhay dekhty ha shah e mashraqain (as)
Subh mil k kkaho doston
LABAIK YA HUSSAIN
LABAIK YA HUSSAIN

             503



NA POCH KESAY KOI SHA MASHREKEEN BNA
BASHAR KA NAZ NABOWAT KA ZEEB_O_ ZEEN BNA
ALI (AS) KA KHONLUABAY RASOOLSHEERAY BATOOL(AS)
MELAY HAIN JAB YA ANASER TOPHER HUSSAIN (AS) BNA

             504


WALION KI ZINDAGI HY PASINA HUSSAIN A.S KA
ZULM O SITAM KI MOUT HAI JEENA HUSSAIN A.S KA ....
KEHDO YAZIDION SAY K APNAY DIN GINEY
NAZDEEK AA RAHA HAI MAHINA HUSSAIN A.S KA

             505

hai asman or zameen p aik naam e panjtan
hai rab k bad beshak maqam e punjtan
lehrata hai shan say Ghazi a.s ka alaam,
orhawa b kehti hai salam punjtan...
mushkil mujhe agar hoe mehshar mein jo raza.....
bus itna keh don ga k hon ghulam e punj tan

             506

Ayoon ul akhbaar ul Raza main hai
k Hazrat Imam Ali ibn e Moosa al Raza a.s ny
apny abaye akram sy riwayat ki hai k
Hazrat Ali a.s ka bayan hai k
Aa'n Hazrat s.a.w.w. ny mujh se irshad farmaya :
Ay Ali a.s ! Quraish k muta'did afrad Zahra s.a
k rishtay k silsilay mai mujhsay naraz hogae.
Woh kehtay hain k ham nay bhi Fatima Zahra s.a
k liye Aap s.a.w.w. ko pegham bheja tha aur Ali a.s
ny bhi Aap s.a.w.w. ko pegham dia, Lekin Aap s.a.w.w.
ny hamain tou inkar kar diya aur Ali a.s sy bila'takalluf

Aqd kar diya.
Main nay jawab dia k Ba Khuda na mainay tum logo k liye

inkar kia aur Ali a.s sy Fatima Zahra s.a ka aqd kia hai,

balkay yaqeen karo k Allah Tala ny tum logo ko mana kia tha

aur Ali a.s sy aqd kia tha. Es k baad Jibraeel Amee'n naazil

howay, unho ny kaha k - "Ay Mohammad s.a.w.w. ! Allah Tala

farmata hai k agar main Ali a.s ko peda na karta tou yaqinan

tumhari beti Fatima s.a ka koi Kafu o Hamsar ro'ay Zameen

per na milta, khuwah woh Adam hon ya unki zurriyat mai sy

koi aur.!"

             507


Agar Allah Tala ny janab e Ameer-ul-Momineen a.s ko na peda

kia hota tou Fatima Zehra s.a ka koi kafu o hamsar ro'ay

zameen per na milta.

Hazrat Imam Jafar Sadiq a.s

Bihar ul anwar
Jild # 3
Page 130

             508


Janab e Rasool Allah s.a.w.w. ny irshad farmaya
k Allah Tala ny meray or Ali a.s k darmiyan
akhuwat qarar di.
Un sy meri beti ka aqd saath(7) aasmano k oper parha aur

apny Malaika Muqaribbin ko es aqd ka shahid banaya.
Phir unko mera wasi or janasheen qarar diya.
Ali a.s mujh se hain or main un sy hun.
Unka dost mera dost hai unka dushman mera dushman hai aur

Malaika bhi un he ki mohabbat k zariye sy Allah j.j ki

bargah mai taqarrub hasil kartay hain.

Bihar ul Anwar
Jild # 3, Page # 137

             509


Arsh-e-Baree'n pe dhoom hai pur mast yeh fiza hai,
Mukhra zamee'n ka aaj to khushiyon se youn khila hai,
Rishte mein bandh gayi hain Binte Nabi(SAW) Ali(AS) se,
Yeh SHARF Murtaza ko ba'izne Khuda mila hai....,,

             510


Hai Sehn-e-Mustafa (s.a.w.w.) or Eman ki Barat,
Dulha Khuda k Fazal se Haider (a.s.) sa Kush Sifat,

Ehl-e-Khuda ki Eid Farogh-e-Chaman ki Baat,
Ye Khutba-e-Nikah hai Bazm-e-Tajaliyat,

Khutbay pe Mohar Marzi-e-Rab-e-Jaleel ki,
Bas Mouj me hai Aaj Shariyat Kahleet ki.........

             511


SADA YEH AA'I KHA'N HEY "ZUHRA" K AAJ
"ZAHRA "(sua) K DAR PEY JA'Y,
HUMARA PEGHAM INTHA'I ADIB SEY
JA K UNHAIN SUNAA'Y ,
NA DASTAKAIN DEY NA AAHTAIN HO'N
NA BEY ADAB HO NA MUSKR'AY,
BUS AISEY JA'Y JAISEY MOMIN KHUD
APNEY KHALIQ K DAR PEY A'AY ,
NABI (sawaw) KI CHOKHAT PEY
BOSA DEY KAR KEHEY K AB YEH USOOL HO GA,
JO SAR SEY PA'ION TALIK
KHUDA SA HO WAHI ZOJ-E-BATOOL(sua) HO GA.

             512


hai dulhan fatima moula ali halaa dulha
chahiya ishe dulhan ka liya haisay dulha
dulha allah ka wali beti nabi ki dulhan
na dulan hughi kahi ishi na haisay dulha
shur hai sala ala sala ala ka hasan
aaqazadi hai dulan hai mera moula dulha

             513


YA ANBYA HAIN YA OLYA HAIN ALI WALI (AS) KI BARAT DHEKO

KHAZER CHARKTA HAYHAR BRATI K RUKH PAYABAY HYAT DHEKO
KI BHARIN GUZER GAI HAINKHELA NA ESA CHAMAN JHAN MAY KHAN

KHUDI MAY EASA NOSHAKHAN HAY EASI DHULAAN (AS) JHAN MAY

             514


Ye Keh Ker Farishto'n Se
JANNAT Mein Chala Jao'n Ga

HUSSAIN A.S k Qadmo'n k
Nishaan Dhoond Raha Hoon

~ Allama Iqbal ~


             515


Dar-e-HUSSAIN(A.S) pr jo sar jhuka nhi sakta,
Use namaz ka sajda bacha nhi sakta.
Namaz-e-Ishq yakinan use nhi aati,
Jo ja_namaz aza ki bicha nhi sakta.
Jo apne dil ko bnata nhi aza_khana,
Wo pne dil main KHUDA ko basa nhi sakta.
Nishan-e-Matam-o-Sajda misaal-e-suraj hain,
inhe lahad ka andhera chupa nhi sakta.
Yazeed jese to har mor per nazar aae,
Koi HUSSAIN(a.s) sa mola dikha nhi sakta.
Jo chata hai k razi ho FATIMA ZEHRA(s.a),
Gham-e-HUSSAIN(a.s) per fatwa lga nhi sakta...

             516


Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka
Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki
Woh Arzo Sama Ka Malik
Yeh Malka Behro Barki (Zami Rakhsa) Hai Rakhsa Asma Bhi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Hyder Hai Kulle Ima
Aur Kulle Ismat Zehra
Is Sar Pe Wafa Ka Sehra
Is Sar Pe Haya Ka Sehra

(Woh Shezaada) Hai Aur Yeh Shahzaadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Kheti Ne Bichaya Sabza
Suraj Ne Ujale Bante
Khud Dashte Khuda Ne Shaab Ke
Aanchal Pe Sitaare Taanke

(Huwi Rangi) Jo Thi Tasviir Saadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Bola Yeh Khuda Har Jaanab
Rehmat Ke Ghata Barse Gi
Jo Bogs Se Banjar Hoo Gi
Bas Woh Hi Zami Tarse Ge

(Utho Jibrieel) Yeh Kardo Manadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dunya Ne Sawara Usko
Andaaz Naye Apnaye
Tahzeeb Ne Zaiwar Badle
Marboot Naye Silwaye

(Mehek Uthi) Nasab Ki Paak Waadi....


             517


Jibreel MURTAZA(as) ko dulha bana rahe hain,
Sab arsh farsh wale khushian mana rahe hain,
Duldul sawar mola pedal rawan dawan hain,
Baration me shamil nadiyon ka karwan hai,
Karne ko khair magdam sarkar arhe hain……

             518


Dhoom AHMAD(saw) k ghar me machi hai,
Aaj ZEHRA(AS) ki shadi rachi hai,
Marhaba k c mahfi saji hai,
Aaj ZEHRA(AS) ki shadi rachi hai,
Boli qutrat jinah ko saja do
nar-e-dozakh ko jildi bujha do,
FATIMA(SA) aaj dulhan bani hai,
Aaj ZEHRA(AS) ki shadi rachi hai……

             519


CHAAND SHARMA RAHA HAY BE CHAARA
BAIT E ZEHRA(S.A) MEIN HAY HUSN SAARA
HAR TARAF ROSHNI ROSHNI HAI
AAJ ZEHRA(S.A) KI SHADI RACHI HAI
DHOOM AHMAD(S.A) KE GHER MEIN MACHI HAI
AAJ ZEHRA(S.A) KI SHADI RACHI HAI

             520


CHAAND SHARMA RAHA HAY BE CHAARA
BAIT E ZEHRA(S.A) MEIN HAY HUSN SAARA
HAR TARAF ROSHNI ROSHNI HAI
AAJ ZEHRA(S.A) KI SHADI RACHI HAI
DHOOM AHMAD(S.A) KE GHER MEIN MACHI HAI
AAJ ZEHRA(S.A) KI SHADI RACHI HAI

             521


Zameen Keh Rahi Hai
Falak Keh Raha Hai
Aisa Koi Jora Pehley Daikha Kahe Na Hai
Jaisa Jora Ali(a.s) O Fatima(s.a) Ka Bana Hai
Zameen O Arsh Jhoom Utain Hai
...Zehra s.a Ki Shadi Hai Nabi(SWW) Barati Hai
Khuda Mehman Or Nabi(SWWA) Mezban Hai……

             522

" DROOD PAK " ke fawaid
1- drood pak parhne wale ko na qabar main matti khayege na

keere
2- drood pak jannat ka rasta he
3- drood pak ke barkat se mall barhta hai
4- drood pak tangdasti ko door karta hai
5- drood pak parhne wale ke dua qabool hoti hai

             523


Kon Zindaan Me Tha Apna Jo In Ko Routa
Bay Kassi Lasha e Mazloom Py Krti Thi Buka
Nau(9) Buzurg Ap K Firdous Me Krtay Thy Aza
Aik Bibi Ki Yahan Aaai Yeh Pur Dard Saza

Laash Per Ronay Ko Baita Na Koi Bhai Hai
Haaey Bachay Tujhay Ghurbat Me Qaza Aai Hai

             524


Raasty Bhar Yunhi Karty Huwe Mazloom Ko Yaad
Thi Moharram Ki 9vi Jab K Ye Pohnchay Baghdad

Tang Zindaaan Mai Howe Qaid, Misal E Sajjad
Aai Zehra Ki Sada Mere TAqi Ul Jawwad

Mai Tere Sath Hun Kal Phir Aon Gi
Karbala Mai Kabhi, Kabhi Baghdad Mai Reh Jaon gi


             525

Abbas ki nigah mein kia foj-e-Sham hai,
Abbas Murtaza ki tamanna ka nam hai,
12 Imam mazhab-e-Islam mein huye,
Yeh mazhab-e-Wafa ka akela Imam h

             526

ALI A.S. wale malangon ki ibadat or hoti hai
yh sajde or hote hain, aqamat or hoti hai
ALI A.S. k dushmanon ko or ALI A.S. ko is tarha samjho
nijasat or hoti hai , taharat or hoti hai
kia dawa ALI A.S. ne salunni ka yh batane ko
khilafat r hoti hai, imamat or hoti hai
kahan saadat k dushman,
kahan HAZRAT BIBI ZAHRA S.A.k shezaday
nahusat or hoti hai , karamat or hoti hai
gunahgaron ko MASOOM se kion mansub karte ho
HALAQAT or hoti hai , SHAHADAT or hoti hai

             527

Milega Majliso Matam Mein Ye Inaam Hume,
Humari Qabr Mein Maula Ali a.s Bhi Aayenge,
Agar Hai Chahane Wala ALI ka,
Farishte Raasta Jannat Ka Khud Dikhayenge
.  
             528


IMAM MUHAMMAD TAQI
A.S
NE
FARMAYA:-

JIS NE KHUDA (J.J) KI RAH ME AK DOST HASIL
KAR LIYA GO'YA JAN'NT MAIN AK GHAR HASIL KAR LIYA

REF:
NAQUSIH-E-ASMA'AT
PAGE NO: 561

             529


Islam ke daaman me hai is ke siwa kya...
ek zarb e YADULLAH ek sajda e SHABIRI..

(ALLAMA IQBAL)

             530


Kisi Gareeb Ki Gurbat Dekh Kar
 Usey Faqeer Na Samajh na
         Q ke
 Usey Bhi Usi Khuda ne Banaya hai
Jes Ne Tume banaya..!!

Hazrat Ali(as)


             531


"Matam ki sadaoon se zamana ko jaga do ..
duniya ka har Zulm k assaar mita do . .
PEGHAM-E-HUSSAIN IBN-E-ALI(A.S) sab ko suna do . .
Is daur k har Shimr ko mitta do .. .
Phir Qaum k chehray pe Thakawat ki Shikan ha . .
...Phir AZMA-E-HABIB IBN-E-MAZAAHIR ko sadaa do ...
ABBAS(A.S) k percham ko Fazaaaon me Utha kar . .
Har Qasr-e-Yazidi k Dar-o-baam gira do ..
SAADAT k khaimoon ka dhuwan dekh rha ho . .
AULAAD-E-ABU JAHAL k Ewaan Jala Do,
Mumkin ho to ik rat sitaroo ko bujha kr . .
Ashkoon k ye moti sare Aflaak saja do . .
Mohsin gham-e-SHABBIR ma kis wastay chup ho . . ??

             532


Qama K Zakham Ubharta Hai Zindagi Ban Kar
To Kia Ye Madar e Shah Ka Karam Nahi Hota???
LAhoo Luhaan Hotay Hain MataMi NAyyar
Magar Badan Mai Kabhi Khoon Kam Nahi Hota


             533


JAb Munafiq Shariyat Ko Mittanay Aaye
Waris Islaam k Islam Bachanay Aaye
Hum Ny Tareekh Mai Dekha Hai Dar e Zehra Ko
Jab Bhi Aaye Hain Musalman Jalanay Aaye

             534


Ishq e Ali k Jaam Ko Bar Bar Piya Karo
Mushkil Paray To Naam Ali Ka Liya Karo
JanNat Mai Jana Chahtay Ho Agar To Momino
Zehra K Dushmano Pe Lanat Kiya Karo

             535


Kehta Hai Mullah, Zikar e Ali Na Karo Namaz Baatil Hai
Humaray Markaz k Aagay Dusra Nizaam Batil Hai
Arey O' Iblees k Potay ! Tje Kia Pata Jalwa e Wila Kia Hai
Namaz To Kuch Bhi Nahi, Ali k Bin To Pura Islam Batil HAi

             536


Zehan ki Dewaar Pe Jab KARBALA Likha Gaya.
Sajda e SHABBIR (A.S)Se Naam e KHUDA Likha Gaya.
Kis Qadar Roya Madinay Me Rida ka Paasbaan.
Jab ALI (A.S) ki BETIYON ko Be Rida Likha Gaya.
Kaanpta Hoga Wajod e Kainat e KIBRIYABhi.
Jab HUSSAIN (A.S)ibn e ALI Be Aasra Likha Gaya.
Dasht k Medaan Me Jab Payaas Ne Matam kiya.Hurmila ka Teer,
ASGHAR (A.S) ka Gala Likha Gaya.
Ho Gaye Hon Gay kharray Tab Ehtraaman PANJATAN.
Jab kabhi ABBAS (A.S) k Aagay Wafa Likha Gaya.

             537


PAANI UPAR KO UTHE TOH BHAP,
UPAR SE GIRE TOH BAARISH,
JAM KE GIRE TOH OLA,
GIR KE GAME TOH BARF,
PATTE PE GIRE TOH SHABNAM,
PATTE SE SIRE TOH ARQ,
AANKH SE NIKLE TOH ASHQ,
BAHE TOH DARIYA,
KADAM-E-ISMAIEL SE NIKLE TOH ZAM-ZAM,
ROSOOL KI UNGLIYON SE NIKLE TOH KAUSER,
AUR JAHA BAND HO JAI WAHA***"KARBALA"***

JAB BHI PANI PIO TOH KARBALA KE SHAHIDO .

            538


Pehly apny noor se Haq ne banaaey Panjatan(as),
Phir zamin per surat-e Qura'an aaey Panjatan(as),
Jis tarah Tatheer mn yakjaa huwey hn paanch harf,
Is tarah Zaat-e Muhammad(saww) mn samaaey Panjatan(as).

            539


Iqbal Ghulam e Ali a.s"

Jahan Se Palti Thi IQBAL Rooh QAMBER Ki
Humain Bhi Milti Hai Rozi Isi Khazanay Se
Hamesha Dar Zaban HAi ALI Ka Naam IQBAL
K Piyaas Rooh Ki Bhujti Hai Is NAGEENAY Se
NAJAF Mera MADINA Hai, MADINA Hai Mera KAABA
MAi Banda Or Ka Hun, UMMAT SHAH e WILAYAT Hoon.

            540


aate hain samander main tufan is liye bhi,
jab yad aati hai samander ko pyase hussain(a.s) ki...

            541


Kartay Hain Khud Kushi Aur Maangte Hain Jannat,

Naye Roop Main Aaye Hain Qaatil HUSSAIN(a.s) k.

            542


FARMAN E MOULA ALI A.S
DOSTI KA IMTIHAN MUSIBAT MIEN HOTA HAI...
BIWI KA IMTIHAN GHURBAT MEIN HOTA HAI....
MOMIN KA IMTIHAN GHUSAY MEIN HOTA HAI...
AANKH KA IMTIHAN BAZAR MEIN HOTA HAI...
ZUBAN KA IMTIHAN MEHFIL MIEN HOTA HAI...
HATH KA IMTIHAN KHANAY K DORAN HOTA HAI....
INSAN KA IMTIHAN QABAR MIEN HOTA HAI...
YA ALLAH HUM SAB KO IN IMTIHANO MIEN
 KAMIABI ATA FARMA ...AMEEN
       543


aza e AAL E NABI as se hai zakhm zakhm jiger.
Dua karo k mere dil k zakhm theek na hon.
ALI as k zikr se jin ki namaz batil hai.
meri namaz e janaza me woh shareek na hon.

       544


Tumhey Ye Hai Khush Fehmi Mita Do Gay Tum Humko
Hamary han TO Lakhon se Bahattar(72) jeet Jatay Hain……

       545


MOLA IMAM ALI(A.S):
SAKHEE INSAAN DUNIYA MAI MAAL KHARCH KERKE
IZZAT KO BACHATA HAI OUR BAKHEEL INSAAN IZZAT DE KER
MAAL KO BACHATA HAI

       546



Salam Ya Aaqa Zaadi Bibi Zainab Bint e Al a.s

Bint e Khaatun e Jinah Bint e Ali Hai Zainab
Gulshan e Fatima Zehra Ki Kali Hai Zainab
Kabhi Zehra, Kabhi Haider, Kabhi Aaghosh e Nabi
Goya Quraan Ki Godi Mai Pali Hai Zainab
Jab Bhi Ye Naam Liya Tal Gae Har Ek Mushkil
Ye Tera Naam Hai, Ya Naad e Ali Hai Zainab

       547


Main Ny Us Zaat Py Likhny Ki Jasarat Ki Hai

Jis K Daman Py Farishton Ny Ibadat Ki Hai

Kis Ki Jurrat Mery AAQA K Barabar Aaey

Mery AAQA Ny Tu Nabiyoun Ki Imamat Ki Hai

Zakham Kha Kr Bhi Jo phoolon Ki Ridayen Bakhshy

Mery AAQA Nay Tu Kaanton Sy Mohabbat Ki Hai

ALLAH ALLAH Woh Kia Log Thy Jin Logon Ny

Chalty Phirty Mery AAQA Ki Ziyarat Ki Hai

       548




Meri Nighaoon Ki Talash Hai Bas Itni Ya Rab
K Akhiri Sans Se Pehley
Zahoor-e-Imam(ajf) Hojaye Elhai amen……

       549


Kabbah Ali(a.s) k faiz se gulzaar ho gaya.
but khanay se jo badla bawaqar ho gaya...
Kabba Ali(a.s) ka shukir manay k wastay...
kala libass pahn k azadar ho gaya...

       550



Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya
Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya
             551


RASOOL-e-SADIQ (saww) nay
Hazrat Abuzer (r.a) k baray mein fermaya:

"Saya-e-Asmaan talay aur zameen k farsh k oper Abuzer say ziada sach bolnay

wala koi nahi."

Azaltal'Khufa vol#1 pg#282
(by: Shah Waliullah Dehlvi)

             552


Kiya Jalwa karbla Mai dikhaya HUSSAIN Ne..

Sajde Mai Jaa ke Sar ko kataya HUSSAIN Ne..

khsh ßakht HURR Tha Aap k kadmo Mai Aa Giraa..

Soya Naseeb Us ka Jagaya HUSSAIN Ne..

Neze Pe Sar Tha Aur Zaban Per Thi Aaytein..

Quran Is Tarah ßhi Sunaya HUSSAIN Ne..

AKBER ki khshk Aankh Se Aanso Jhalak Pare..

SUGHRA k Jab Payam Sunaya HUSSAIN Ne..

Sadme Mai karbala Walo ki ßhi Çheekhen Nikal Gai

ASGHAR ko Jab Gale Sy Lagaya HUSSAIN Ne.

             553


Wafa k Paimaany sab bhula k,
Jafa hen karty wafa k Qatil...

RASOOL-e-HAQ s.a.w.w ky jo Ummati hen,
Wohi hen AAL-e-ABA k Qatil...

Ye Uski apni hi Maslehat hy,
Wo jism rakhta nahi hy warna

Ye Mansabo'n ky GHASAB ky aadi zroor hoty KHUDA k Qatil...

Na AMANAT
Na DiYANAT
Na SHARAFAT
Na SADAQAT!!

NABI s.a.w.w ky MEMBAR pe aa gay hen NABI ki her ik ADAA k Qatil

IMAM jinka Yazid l.a hoga
Wo Kesy jaanay HUSSAIN a.s kia hy??

Bany hen Qari B
LA-ILAH k,
Ye LA ILAH ki Baqa k Qaatil

Kehta hy BEHLOL ye Zamana,
Bachain gy kaisy Woh MUNTAKIM a.f sy??

SANAD k Qatil
FIDAK k Qatil
WATAN k Qatil
RIDA k Qatil...


             554


"Vird-e-Ali Subho Sham Karta Hun
Ya Ali Tere Chahne Walo Ko Salam Karta Hun
Adavat Nahi Kisi Musalman Se Mujhay
Mgr Nasl-e-Yazeed Par Lanat Sar-e-Aam Karta Hun,

             555


Jis Dil Men Shakh-Ulfat-Haidar Khili Nahi
Us Dil Ko Kahin Sukun Ki Daolat Mili Nahi
Hamen Tou Zindagi Ne Dars Hi Yahi Diya
Us Zindagi Py Lanat Jis Me Ali(as) Nahin

             556


Wo kon hay jo midhat-e-Haider(as) say rokde????
khud ko berha kay nar-e-jhahanom mein jhonk de!!!!
masjid mein tujko Nar-e-Haider haI na ghawar!!!!
ja Murtuza(as) ko Kabay mein anay say rok de!!!!

             557


Talash kerta hai Kisko Jahan Ali (A.S) k Siwa
Nahin hai koi nahin hai Yahan Ali (A.S) k Siwa
Ager Nazar mein Hai Koi to Saamnay Laao
Ho jiski Zaat pe Rab ka Guma Ali (A.S) k Siwa
Ye Kis k Noor se Raushan Hai Khaana e Kaaba
Charaagh Jalta hai kiska Yahan Ali (A.S) k Siwa
Jo Aalmeen ki Mushkil Kushaai ko Aaey
Koi Azal se Abad tak Kahan Ali (A.S) k Siwa

             558


Haan Josh_E_Gham Syed_E_Aaali Ho Jaye
Chehroo Pey Ashkooon Se Bahaali Ho Jaye

Youn Lakht_E_Jigger Chasam Se Tupkhein Bahum
Her Shaaakh_E_Misra Phoolon Ki Dhaali Ho Jaye.

             559


Ehsaaas Nahi Gir Bazm_E_Aazaa Main Ahaye
Aahaye To PunAah_E_Mustafa (P.B.U.H) Mein Ahaaye.

Gharmi He Kay Din Thay K TUmARI Khatir
Shabbir (a.s) WATAN Se KARABALA Mein Aahay.

             560


Mominoo ! Yah mAqam_E_Zaari Hai
Rooho kAy Ab Waqt_E_ Ashkbaari Hai.

BIBI Fatima (S.A) Ah Chuki Hain Majlish Mein.
Ab Kaho Kis Ki Intizaari Hai.

             561


Hai Fazal_E_Aazaa Juda Juda Majlis Hai
Ghar Ghar Majlish Hai Ja Baja Majlis Hai.

Mash ' Allah ChASHM_E_Budood Anees
Kiya Majma_E_MOmineen Hai? Kiya Majlis Hai

             562


Har Ek Namaz e Ishq Ko Parhna Seekha Diya
HAr Karbala Mai Shaan Se Rehna Seekha Diya

Sabar e Hussain Tu Ny Badal Di Ebbaratain
Phatar Ki Aankh Waalon Ko Rona Seekha Diya

Mojiz Numa Thi Tashna Labi Jis Ny Khalq Ko
Dasht e Lab e Zameer Bhigona Seekha Diya

Tu Ny Dil o Dimagh Ko Bakhshi Hain Narmiyaan
Palkon Ko Tu Ny Haar Pirona seekha Diya

Baba Ny Tere Bistar e Is'haq e Rasool Par
Khatray Ki Raat Chain Se Sona Seekha Diya

             563


Main Mushkil Main PANJITAN Ki Panah Laita Hu
Mehfil ko Zikr-e-ALI(A.s) Se Saja Laita Hu
Dunya Ki Guftagu Say Jb Dil Baizaar Ho Jata Hay
HUSSAIN(A.S) ka Zikar kar Kay SYEDA ZEHRA(S.A) Say DUA Laita hu

             564


Haqq O Batil Ki Hai Paikar Hameha Jari
Jo Na Batil Se Daren Hain Vahi Shiâan-E Hussain A.s Hai

             565


Sajde Se Karbala Ko Bandagi Mil Gayi
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gayi
Ek Chaman Fatima(S.A) Ka Ujra
Magar Saare Islam Ko Zindagi Mil Gayi

             566


Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai
Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi
Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.

             567


Hazrat Ali <a.s> said,

A ALLAH k bandon !

Aamal-e-Naik Baja Lao, Abhi Jub k Zabano'n k Liay
koi Rukawat nahin, Badan Tandurust or Hath Pairon(Legs)
 mein Lachak hai(k jo chaho un se kam le saktay ho) Qabl is k,k Fursat-e-

Rafta moQa na day or Maut toot paray..Apne Liay Maut ko ye Samjho k wo aa

chuki,uska intezar na karo k wo aaey gi.

Ref: NEHJUL BALAGHA
Khutba #: 194
Page #: 483
Vol #: 01

             568


Likha Hua Tha Mere Kafan Par Ali Ali(as)
Ye Dekh Kar Farishton K Dil Jhumnay Lagay
Phir Us k Baad Apnay Sawalon Ko Bhool Kar
Munkir Nakir Mera Kafan Choomnay Lagay...

             569


jhukana chaha tha jis sar ko shaam walon ne,
shikast dekhiyey us sar ko khud utha ke chaley..

             570


Zehra ( S.A ) teri Jaageer hai jannat bhi Fidak Bhi ..
Ye Jabal Ye Ashjaar Ye Paani bhi Falak bhi...
Shohar (a.s ) ki taraf say hain Ghulami main Malak bhi
Bibi ( S.A ) Teray Haq Meher main Shamil hai namak bhi
Bas teri Zameenon pay bas jaty hai Dunya
Sadion Say faqat Tera Namak Khaty hai Dunyaon
             571


HAIDER KI WILLAYAT KA SADA RAJ RAHY GA

HER DOUR ALI KA MOHTAJ RAHY GA

HAIDER TERI AZMAT KO KOI LAKH CHUPAY

 TU MILLAT E ISLAM KI SIRTAJ RAHEGA

        INSHALLAH

             572


ZAMEEN E HAQ p hasad se shigaf mat kijheye......
Amal ko hukm e khuda k khelaf mat kejheye.....
ali ka bughz agr mila hy wirasat main ......
tu kaba ghr hy ali ka tawaf mat kejheye........

             573


ZIKAR E HUSSAIN NY MJHY INSAN BANA DIA

MASJID KO YOUN JANNAT KA SAMAN BANA DIA

EHSAAN HY MJH PER MERY HUSSAIN KA

MUJH KO YOUN PANJTAN KA GHULAM BANA DIA

             574


jab gardan e jhuki hon tu sir jhukaty hain log
jhukta nahi woh sir jo sada sarfaraz ho

sir katna sheer ka asan nahi tha
qaatal b muntazir tha k waqt e namaz ho.

             575


Nehjul Balagha
Pg#128...

Shuru sardiy0n me sardi se ehtiyaat kar0,
Or akhir me uska khair maqdum kar0,
Q k sardi jism0n me w0hi karti h j0 wo Darkht0n me karti h,
Ibtada me Darakht0n k0 jhulas deti h
Or
Inteha me sar-sabz-O-shadab kar deti h...!

Mola Ali(a.s)

             576


Samjha Na Koi Aj Tak Logon Ye Falsafa
Parcham HAi Surkh Gumbad e Ibn e Batool Ka

Yaani Ruki Nahi HAi Abi Jang e Karbala
Or Aarahi Hai Roza e Abbas Se Ye Sada

Rokay Ga Mujh Ko Tab Na Nawasa Rasool Ka
Mehdi(ajtf) K Sath Loonga Mai Badla Batool KA

             577


Elm Ki Bheek Jo Kashkol Utha Kar Maango
Bar Sar e Farsh AzZa o Mimber Maango

Baant'ta Phirta Hai BEHLOL Makaan JanNat K
Mustaqbil Jis Mai AzZakhana Ho Wo Ghar Maango

Jab Alam Dekh Kar Hoti HAin Muraadain Puri
Kiya Zarurat Hai Dua Hath Utha Kar Maango

Mujh Ko Paani Nahi Darkaar Sakina Ny KAha
Bhai Sajjad ! Laeen Se Mere Gohar Maango

Bolay Sahabbir Meri Jaan Nichawar Tum Par
Run Ko Janay Ki Raza Hum Se Na Akbar Maango

             578


Deen Daroo Nay Amun Kufr_O_Shur Se Paya
Kaahbay Nay Sharf ASay Gohar Se Paya

Hathoo Pe Ali (A.S) Ko Lay K Ahmed Mustafa(s.a.w.w) Nay Kaha
Yah Dur_E_Najaf Khuda Kay Ghar Se Paya .

             579


YA ALi Keh K Qadam Hum Jo Utha Dethay Hain
Raste KhuLd Humay ManziL Ka Pata Dethe Hen
Hum Ko MiLti Hee Nahi Teray FazaeL Ke Haden
Log Kehte Hen K Hum Had Se Bhara Detay Hen

             580


MAIN KYA BATAO DOSSTO TUMHAY K KYA HUSSAIN HIA

HUSSAIN AS FAKHAR E AMBIA
HUSSAIIN AS DEEN KI LAAJ HIA
HAR AK DIL PAY AJ BHI
HUSSAIN AS HI KA RAJ HIA
YAZEED (LANTI) KAB KA MIT GAYA
HUSSAIN THA HUSSAIN AS HIA

MAIN KYA BATAO DOSSTO TUMHAY K KYA HUSSAIN HIA

             581


faqat hai yeh to ejaze hussaini
kahe nezo pa bi sar bolte hai
ali wale kaha hote hai khmosh
yeh sulee par bi char kar bolte hai

             582


Sabr Karo Q K Dushwari K Baad Asani Hai
Or Hr Kaam K Lye 1 Waqt Muqarar Hai
Hmari Taqdeer Se Allah Ki Taqdeer Bohat Buland O Bala Hai
         Mola Ali a.s

             583


Ab Haal Sakhawat Ka Suno Sher e Khuda Ki
Kia Faqr Hai Himmat Thi Shah e Uqda Kusha Ki

Ho Jate Thay Betaab Sada Sun K Gada Ki
Raasty Mai Qatar Oonton Ki Saa'il Ko Atta Ki

Darwesh Ko Hum Shan e Sulemaan Kiya Tha
Sajday Mai Anghooti Ka Jo Ehsaan Kiya Tha

Haider Sa Zamanay Mai Na Hoga Koi Jawwad
Banday Bhi Bohat Raah e Khuda Mai Kiye Aazaad

Dushman Ny Dam e Jang MAi Shamsheer e Khuda Daad
Mola Se Jo Mangi To Wahin Ki Usay Imdad

Dirham Diye Deenaar Diye Rah e Khuda Mai
Khud Balkay Kai Baar Bikay Rah e Khuda Mai.

             584


Jab Bi Kahain AkBar Ka ZiKar Hota Hai...
Khush Zahra Ka Noor e NazaR Hota Hai...

Be Noor Ho Jata Hai AsmaN Ka ChanD...
BeHijab Jo Hussain Ka QamaR Hota Hai...

Hussain o Minni Ka Yeh Raaz Paya Main Ne..
Youn ShabeeHon Ka AkBar Tak Safar Hota Hai.

Is Tara Rahe AkBar Hussain Ki Nazar Main..
Jaissay Ali Pe Rasool Ka Abar Hota Hai...

Kehti Thi Sab Se Baad e AkBar Yeh Maa...
Ab Kuin Yeh Itna SharMinda Abar Hota Hai..

Baad e AkBar Andhaira Hai Meri Zindagi Main.
Bas Yehi Jumla Hussain Ke Lab Per Hota Hai...

AkBar Se Hussain Ki Muhabbat Bi Ajab Thi...
Jidhar Hai AkBar Oudhar Hussain Ka Ser Hota Hai.

Moula Ab Aa Ke Mila Do Hussain Se AkBar Ko..
Ab Sadioun Ki Judai Ka Khatam HijaR Hota Hai..

BabaR Bakhsha Hai AkBar Ne Tujhe Yeh Saleeqa..
Shamil Harfon Mian Janat Ka Aatar Hota Hai...

             585


AKBER tmhary Bad meri dunya tmam hy,
maqtal sy ro lipat k yeh khta IMAM hy,

Grty sambhalty Aaye tu Lasshe pe d Sada,
Maqtal ko teri Beta HMara Salam Hy,

AKBER ka lassha dekha tu ZAINAB ny yeh kaha,
ab ho chala Yaqeen Muqadar amin Shamm hy,

barchee nikali SHAH ny tu NABIYON ny d sada,
AY CHAND FATIMA K YEH TERA HE KAM HY,

MATAAM KI GOONG deti hy yehe Sada,
AKBER k Azadaron ka jannat mukam hy.
inshallah

             586


Mola Ali(as) se Ksi shakhs Ny Pocha:
Main Buhat Koshish Krta hoon "Namaz-E-Subah"
Parhon Mgr Uthta Nahi?

Mola ALI (A.S)
ne Farmaya Yeh Nend Ki Waja Nahi Balky Tum
Jo Saray Din May "Gunah"
Krty Ho wo Tmhare
Garda'an" Me Tok,
Hathon me Hathkari Or Paon Me
Bairiyan Bandh Kr Tmhy Uthney Nhe Daitay.

             587


" Imam Jaffer Sadiq a.s Se Kisi Ny Pucha
K Mola Ali a.s K Itnay Ziada Fazaail Jaanty Huwe Bhi
Log Munafiqon K Sath Ku Ho Gaye???

Imam Jaffer Sadiq a.s ny Farmaya K
Jins Hamesha Jins k Pass Jati Hai
Jese
Totta Tottay K Pass,
Munafiq Munafiq K Pass,
Or Momin Momin K Pass Hee Jata HAi".
Ref:Aal'Al Sharra'a
Jild#2

             588


HAzrat Imam Hussain a.s Ny Farmaya:
Hum Rasool Saww Ka Khazana HAin
Malaika K Liye Jaa e Nazool Hain
Humaray Zariye Rehmat Nazil Hoti HAi
Khuda Ny Hum Se Aaghaz Kia Or Hum Par Hee Ikhtetaaam Kare GA
Jab k Yazeed,Sharabi ,Fasiq,Qaatil Hai..
Jaan Lo ! Mai, Or Jo Mera Hai,
Is(Yazeed) Jese Ki Bayat NAhi Kar Sakta.

             589

Matam-e-Shah me Znjeer chalay jitni der...

Fatwa saz0on pe w0 Dushwar ghari rehti h...

Rah-e-Hasti pe aqeeday ki alamat ban kar...

Mere pa0n me ye L0hay ki Kari rehti h...!

             590


SHAMSHEER SE MOLA NE KAHA CHAL MAGER AESAY,
HO KHYBER-O-KHANDAK MAIN BHI HAL CHAL MAGER AESAY,
IS MAIDAAN MAIN RAHAY MOUT KI JAL THAL MAGER AESAY,
IS DASHT MAIN RAHAY KHOON KI DALDAL MAGER AESAY,
TU JIS PE UTAR GAI MAIN US KA WALI HON,
WO SIRF ALI(A.S) THA MAIN HUSSAIN IBN-E-ALI(A.S) HON "

             591


MURTAJIZ Us Ghoray Ka Naam Hai Jis Ko Rasool Saww Ny Ek Arabi Se Khareeda Tha
Murtajiz Ap Saww Ki Sawari Ka Ghora Tha
Ap Saww Ny Is k Khobsoorat Honay k Bais Iska Naam Murtajiz Rakha,
Jis k Maani
"BADAL KI GARAJ"
"CHAMAKTI HUI BIJLI" k Hain,
Murtajiz Ka Rang Safaid Tha Jang e Sifeen Ki Laraee Mai Mola Ali Ali a.s Ki

Sawari Mai Raha, Murtajiz Karbala Mai Moujood Tha
Roz e Aashhor Imam Hussain a.s Ny Murtajiz Ko Mola Abbas a.s Ko Atta Farmaya
Mola Abbas a.s Ny Furaat Par Qabza Kiya Or Murtajiz Ko Paani Peenay Ka Kaha,

Magar Us Ny Na Piya Or Piyasa Raha.

             592

Ham ise samajhte hain aasan, bari mushkil hy!

YA ALI A.S apki pehchan bari mushkil hy

Dil to sab ka yahi kehta hy ALI A.S Afzal hain

kon iska kare Aelan? bari mushkil hy !


             593


ALI KA NAA'M LENY SY TAQDEER BADAL JATI HY.....
BAD SHAKAL HO INSAN TU TASWEER BADAL JATI HY.....
MUSHKIL PAREY TUJH PER TU PARH LEY NAAD E ALI KO.....
LOH-E-MEHFOOZ PE LIKHE HOWI TEHREER BADAL JATI HY........

             594


mujhe par itni museebatain pare k agar dinoon
pe parti to siyah raatoon me badal jati


( BIBI FATIMA ZAHRA S.A )

             595


khawaishat nafasiyati ki atait se barh koi gunhan nahe
lihaza nafas ki atait na karo warna wo nahe yaad khuda se gafil kar de ga

( IMAM ALI A.S )

             596


ALLAH tum par reham karay,k tum aisy doar main ho, jis main haq'go kum, zuban

sach se door or haq walay zaleel-o-khawar hain, yah log gunah-o-nafarmani par

hain or zahirdari or nifaq ki bina par aik dosray se sulh rakhty hain, in k

jawan bad kho, in k bazurg gunahgaar, in k aalim munafiq or in k waaiz

chaplos hain, na choty baron ki tazeem karty hain, or na maaldar faqeer ki

dastageri karty hain!
MOLA ALI(A.S)

             597


Khushbu na Aye jis me Wo Kaghaz ka Phool hai,

Hub-e ALI Nahi to Ebadat fazool hai,

Jannat bina ALI k Musalman ki Bhool hai,

Sab ne Suna hai Saaf Ye Qol-e RASOOL hai,

Jo bhi ALI k ishq Se Daman Bchaye ga,

KAABE Main bhi Mra to jahannum mai jayega..!

             598


Kis ne khud apne kamalaat ka Elaan kiya..!

Kis k kirdaar ne kaafir ko Musalmaan kiya..!

Kis ki tafseer ne Quran ko Quran kiya..!

Kis ki talwaar ne Islam pa ehsaan kiya..!

Bashar-o-jin-o-malak jis ko wali kehte hain..!

Wohi ek Raaz-e-Khuda hai jis ko ALIa.s. kehte hain..!


             599


Main nay ALI Say "ع" Liya Aur likh lya,

Dekha jo BU TURAB to "ب" is se MIL gaya,

Aaya NAZAR ERUM to Qalam ne "الف" liya,

Aur "س" Barh K SAQI-E-KAUSAR nay day diya,

Har ek Harf ZEENAT-E-QIRTAS BAN gaya,

YAKJA kiya jo sab ko to "عباس" ban gaya"

سلام عباس يامولا.
600


MOULA ALI (a.s) se kisi ne pucha k

"Aap ko apne kis rutbe pe fakhr hai?

Asad-ullah hone pe,

Wali-ullah hone pe,

Nafs-e-Nabi hone pe,

Wasi-e-Nabi hone pe?

Tou MOULA (a.s) ne Farmaya K mujhe 2 chezon per Fakhr hai,

1 main Abu Talib_a.s ka beta hon.
Dusra yeh k main Fatima Zehra_s.a ka Shohar hon.

2 comments:

  1. Ya Mola Meri Chahat Mere Rab Se Bata De
    Bigdhi Hui Takdir Ko Kuch Tu Bhi Bana De
    Bus Ek Hi Chahat Hai Usse Puri Kara De
    Tu Roza-e-Sabbir Mujhe Meri Ankho Se Dikha De

    Kalam-Safdar Rizvi Mitthanpuri

    ReplyDelete