Image by FlamingText.com

SHAH AST HUSSAIN الّلهمَّ صلِّ على محمَّد وآل محمَّد وعَجِّلْفَرَجَهُم

Friday 13 May 2011

  2   3         7   8   9   10  11   12  13  14  15


Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain


   601

Meri qismat main b aesa koi sajda atta ker day

jo mery saaray gunahon ka madawa ker day

saari dunya sy chura ker mjhy APNA ker day

meri metti ko KHUDAYA sona ker day

main teri chahney wali hon magar hy hasrat

jin ko TU chahta hy mjh ko b waisa ke day

ek nazar apni gunahgar per ker k MOULA

apni rehmat ka sazawar hmesha ker day

             602


main hon ABU TALIB meri pehchan yehe hy
kehty ho jesy NABIWAt meri GODI main pali hy

mere, PAYAMBER-E-AKHIR BETY ki willadat
mery KAABEY main howi hy
ghr main hy NABBOWAT MERY GHR MAIN HY IMMAMAT
JO MALIK E JANNAT HY BAHOO MJH KO MILI HY

kya hy ab mera EMAN ab pocho KHUDA sy
bachpan main NABOWAT mery SEENEY p PALI hy

jo hum b na hoty tu KABA b na hota
kabey ki yeh banyad mery jad ny rakhe h

             603


DUNYA MAIN WOHE LOOG SURBULAND REHTY HAIN JO "TAKABBUR K

TAAJ" KO DOUR PHANK DETY HAIN...........

IMAM E ALI a.s

             604


" INSAN KI GALTIYAN OSY WOH DARS DETI HAIN JO USY KESI

DARSGAH SY NAHI MIL SAKTA HY "

IMAM E ALI (A.S)

             605


Har Cheez Apne Waqt Par Achi Lagti Hy..

Naiki Kamane Ka Sahi Waqt Jawani Hy

Or

Hum "Naikiyan" Us Waqt Karte Hein Jab

"Buraiyan"

Karne K Qabil B Nhi Rehte . /

             606


Imam Mohammad Baqar a.s Ny Farmaya:

"Juma Ko Juma Is Liye Kaha Gaya Ku K Is Din Allah (j.j)

Ny Kainat k Awal O Akhir Ko Or Jo Kuch Khalq Farmaya Sab

Ko Muqam e Misaq Par Jama Kar K Hazrat Mohammad saww Ki

Nabowat Or Hazrat Ali a.s Ki Walayat Ka Wada Liya".

Book: Sawal Awam k Jawab Imam k
Page# 365

             607


Hath Rakhay Gardan Py Apni Soch Rahay Thay SMAIL
Naam e Ali Hai Mere Labon Par, Khanjr Jane Aider Janay

             608


Raaton Ko Ali Jagay To Khaliq Ny Ye Socha
FArsh e Shab e Hijrat Ko Bichana Hi Parega
Chin Jaye Na Mujhse Ye Mera Wasf e Khudaee
Ek Shab K Liye Isko Sulana Hi Pare Ga

             609


kerte na jo {alebait} jo nusrat namaz ki
uth jati kaynat se azmat namaz ki
jin k gharon me hota ha zikre HUSSAIN
kis mun se ker rahy han naseehat namaz ki
pushate nubi pe ay thy shbeer is leye
ta k zmaana deh le surat namaz ki
khaliq ne 5 waqat han rakhy namaaz k
deni thi panjtan se j nisbat namaz ki
me mahfil hussain me ataa hun isleye
niklay ne mere dill se muhabbat namaz ki

             610


IMAM SADIQ-AS

WaQai Acha iNsan Wo Ha Jo HAQ K 7 ZiLLAT Ko
QaboL Kerna Behtar Samjhe,
Bajae Is K K Wo BATiL K ZareA iZZAT HasiL Kare

REF:Tohfa TuL AQoL

             611


Dr Jahnum Ka Ho Ku SHEH k HuBdaro Ko,
Tame-Janat B Nai Haq K Prastaro Ko

FATIMA "sa" Hath Utha K Jo DUA Daiti Ha,
Aur Kya Chahiye Mola K AZADARO ko.....!!!!

             612


HAZRAT E ALI sy kesi ny pocha," kis trha pta lagaya jaye

k insan p aaney wali musebat saza hy ya azmaish?"
HAZRAT ALI ny farmaya k
"JO MUSIBAT INSAN KO ALLAH SY DOUR KARY WOH SAZA HY
OR
JO MUSIBAT INSAN KO ALLAH K KAREEB KARY WO AZMAISH HY"

             613


Midhat e Haider me ae tub Maza Izhar ka
Dil Abu Zar ka ho lehja Meesam e Tammar ka

Sheikh je suntay rehe Tarikh Kaba ke mgr,
Uth gae jb Tazkira main ne kia diwar ka

Ya Ali kahna na sikha hota gar Insaan? ne
Janay kia hota jahan me Bay Kaso La Char ka

Ilm ke hai tashnagi Ae Khaliq e Ilm e Ali
Rehang talib hai saloni ke haseen guftaar ka

Ae dost tum zamanay se ulajhna chor do
Wo bahana dhondte rehte hien sirf inkaar ka

             614

"JAHAN SADAQAT OR KHALOOS NAZAR AYE WAHAN DOSTI KA HATH

BARHAO

WERNA

TUMHARI TANHAI TMHARRI BEHTAREEN SATHE HY"

             615


Logo dil-e-Zahra s.a pe qayamat ki ghari hy

aghaze-karbla hy musibat ye bari hy

tum eid ki khushion me ye yad rakho

bazar me Muslim a.s ki Laash pari hy.......

             616


Ja Kar Watan Mai Koi Maan Ko Khabar Suna Dai
Koufay Mai Dar Badar Hain MUSLIM K Shahzaday...
Baba Ko Dhondaty Hai Dono Ghareeb Bhai
Dono Musafiron Ko Hai Mout Yad Aye
Ab Koun Kamsino Ko Koufay Mai Asra Dai
Ham Ko Na Maray Haris (L.A) MUSLIM K Ham Pissar Hai
Is Shaher Be wafa Mai Ham Aaj Dar Badar Hain
Dai Gay Duaien Tujh Ko Baba Say Agar Mila Da

             617



Mola-e-Mutaqqiyan Hazrat ALI ( علیہ ﺍﻟﺴﻼم ) nay fermaya:
" Gunah tak rasaai ka na hona bhi eik sorat paak'damani

ki hai."
{ NehjulBlagha saying#345 }

             618


kardaar main waqaar main bulnd hain ALI

Akhlaq main mayaar main buland hain ALi

guftar main raftar main buland hain ALI

sakhawt main karm main buland hain ALI

sadaqt main bahaderi main bahadr hain ALI

ALLAH ki pahchan RASOOL or RASOOL ki pahchan hain ALI

masjid ki shaan aan kaba ki jan hain ALI

NABI ka damaad ZEHRA(SA) ka shohr hain ALI

jis ne bchaya deen de kar karbla main jan
us mazloom karbla HUSSAIN ka baba hain ALI

SARAAT_e_MUSTQIIM qul QURAN hain ALI

dunya ar aakhrt ka saaman hain ALI

kainat ki pahchaan jant ka pasbaan hain ALI

walyon ka aaqa malngo ka data hain ALI

badr ka hero khandq ka salaar khebr ka fath hain ALI

bas Mera RAB hi janta hain ke kia hain ALI



             619




Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal
Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya

Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay
Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya

             620


Jin Ke Dil Ki Wadiyoon Main Karbala Tameer Hai
Unki Khoshiyoon Ki Zamanat Parcham-e-Shabir Hai

Isko Kehte Hain Aaise Hote Hain Imam
Hath Main Sari Khudai Pao Main Zanjeer Hai
             621


jo dekha deen bhi bedeen hai mitanay ko
hussain aagae maidan mein sir katane ko

udhar to shimr ke dil mein ghubar ki had thi
idhar hussain kei sabar-o-qaraar ki hadd thi

yeah shimr bolaa mere haath mein hukoomat hai
hussain bolay ke mujh per khuda ki rehmat hai

yeh shimr bola ke taqat ka mein samandar hon
hussain bolay muqaddar ka mein sikandar hoon

yeh shimr bola ubharta howa jalaal hoon mein
hussain bolay sher-e-khuda ka laal hoon mein

yeh shimr bola mein apni jafaa na choron ga
hussain bolay mein raah-e-wafa na choron ga

yeh shimr bolaa ke mein paani bund ker doon ga
hussain bolay mein is per bhi sabr kar loon ga

yeh shimr bola tum per bara sitam hoga
hussain bolay kei allah kaa karam hoga

yeh shimr bola kafan tak na dala jaye ga
hussain bolay ke jannat say jora aaye ga

             622


Maqsade zindagi Ya Ali,
jaan nashine-nabi Ya Ali
Maddha karta hoon teri raqam
Pardh ke Nade Ali, Ya Ali

             623


Kabhi maddhe Ali hai aur kabhi Shabbir ka matam
Kabhi hum muskurathe hain kabhi ansoo bahate hai
Sakina ne kaha ye chonk kar gash se Khudahafiz
Me jati hoon phupiamma mujhe baba bulathe hain

             624


Haq Aur Batil Ka Muqalma-

Yazeed Bola:
Bari Fauj Mere Haath Hy

Hussain Bole:
Nateeja Khuda K Haath Hy

Yazeed Bola:
Udhar Maut Aur Idhar
Khazana Hy

Hussain Bole K:
Nana Ko Muun Dikhana Hy

Yazeed Bola:
Main Hakim Hoon Jabr
Krta Hoon

Hussain Bole:
Main “Syed” Hoon Sabr
Krta Hoon

Yazeed Bola:
Kafan Tak Na Dala Jaye Ga

Hussain Bole K:

" Jannat Se Joraa Aaye Ga "…

             625


Rasool E Khuda s.a.w.w Ka Irshad e Girami hai

"do tarah kay nashay tum pay ghalib ajayn gay
aik raahat o aramtalbi ka nasha or
dusra jehal o nadani ki taraf raghbat ka nasha
aisi surat main tum Amar E Bilmaruuf WA Nahi ANnill MunKIr
ka fareeza tark kar do gay"

Refrence:Nehjul FAsaha

             626


jan lo k agr tum apny RAB p bht BHAROSA kerty ho tu
yeh b jan lo k tmhara RAb kbhe b is bharosy ko totny nahi day ga.

             627


har dour har jahan ne kaha ya ali a.s madad
har qalb har zaban ne kaha ya ali a.s madad

girta hua zameen pe bachcha sambhal gaya
be sakhta jo maa ne kaha ya ali a.s madad

             628

Aay Ism e Ali a.s tujh ma Allah ki azMat ha,
Aay zikr e Ali a.s to bhi Khaliq ki ibadat ha,
Quran na Ahmed s.a.w ki amAd ki wazaHat ki,
TaqmeEl e Risalat hi Alan e Wilayat ha. . .

             629

Azm ki jiye rasta mil hi jayega .
aur silsiley se silsila mil hi jayega .

Murtaza se Mustafa tak ayiye .
bas do Qadam Khuda mil hi jayega .

             630

KON KHTA HY K KHUDA NAZAR NAHI ATA
EK WOHE TU NAZAR ATA HY JAB KOI NAZAR NAHI ATA

             631

[HAZRAT ALI(A.s) ne farmaya:

baron ki ezat es lye karta hoon kiun k unki
nekiyaan mujh se ziyada hain...
aur choton se pyaar es lye karta hoon
kiun k unke gunah mujh se kam hain.

             632


Hazrat Ali (A.S) Ne Farmaya:

Ay, Aftab (Sooraj) gawah rehna ke hamessah
ALI" ne tujhey ubhartay dekha hai magar too ne
"ALI" ko kabhi sotay our Ibadat-e-ilahi se ghafil nahi pay.

             633


Hazrat Ali (A.S) Ne Farmaya:

Woh Gunah jis ka tumhe ranj ho,Allah k nazdik us neki se behtar hai
 ji se tum mein ghuroor peda ho jaye.......!!!!

             634

Hajj Ka Khayal Umrah Mai Tabdeel Kar Diya
Ghar Se Khuda K Chal Diye Shabbir Karbala

Ly Kar Chalay Hain Sath Wo Kunmbah Bhara Huwa
Salar e Qaafla Hain Alamdar e Baa Wafa

Raah e Khuda Mai Apna Bhara Ghar Lutaen Ge
Karb o Bala Ko Arsh e Mo'alla Banaen ge

Labaik Ya Hussain a.s

             635


HAZRAT BAREEDA KAHTY HAIN K RASOOL AKRAM saww NY FARMAYA
"ALLAH NY MUJHY 4 ADMIYOUN SY MUHABBAT KARNY KA HUKAM DIA HAI
OR FARMAYA HAI K KHUDA BHI UN SY MUHABBAT KARTA HAI
RASOOL saww SY POCHA GAYA K BATAYE WOH KOUN HAIN?
AAP saww NY 3 MARTABA FARMAYA K ALI as HAIN
OR 4TH DAFA FARMAYA K ABUZAR , MIQDAD , SALMAN ."
REF: JAMIA TIRMIZI j#2 , p#557 , chp#1806

             636

MIDHAT E ALA MUHAMMAD KA RAWADAAR NAHIN,
HAI KOI AAJ JO JANNAT KA KHAREEDAAR NAHIN,

KHUL GAYI KEHTI HUYI HANS KE DEEWAAR E KAABA,
AYEEYA BINT E ASAD S.A SAAMNA DEEWAAR NAHIN,
...
HUM TO MARTA NAHIN KA MOLA KI ZYAARAT HOGI,
KOI MOMIN NAHIN MARTA KA JO ZAWWAAR NAHIN,

AAP MANAIN YA NA MANAIN PER HAQEEQAT HAI YAHI,
SAB KE MOLA HAIN ALI A.S IS MAIN TO TAKRAAR NAHIN,

AB BHI MOQA HAI KA ZEHRA S.A KI DUAIN LE LO!
BAAT JANNAT KI HAI IS MAIN KOI ISRAAR NAHIN,

JAB KOI QAUL MOHAMMAD SAW. KA TUMHAIN YAAD NAHIN,
BAAT PHIR KIS SE KARAIN AAP SE GUFTAAR NAHIN,
...
HUM NE HAR WAQT YAZEEDON SE BAGHAAWAT KI HAI!
AAJ TAK KOI BHI ZAALIM KA TARAFDAAR NAHIN,

DIL KE JAZBAAT HAIN KAAGHAZ PE JO LIKHTA HUN 'NAWAAB'.
DAAD O BE DAAD KA HARGIZ BHI TALABGAAR NAHIN,

             637


Jab ghash me gira khak pe vo bekaso lachar,
Aada ne kiya muslim e bekas ko giraftar,
Us zakhmi ke bazu me rasan bandh ke ek bar,
Kothe pe juda karne ko sir le gaye kuffar,
Sau tukde Mohd(a.s) ka hua dil bhi ,
jigar bhi,Mara gaya Muslim(a.s),hue qatl pisar bhi.

             638


Naar-e-Dozakh Mily Deen k Ghadaro’n koo
Hirs-e-jannat Bhi Nahi HaQ k Pristaro’n koo
FATIMA (A.S) Hath Utha kar jo Dua Daiti Hen
Or kia Chahiye MOLA*kAzadaro’n koo…

             639

es hukm-e bad nihad ki tameel jab hoi,

Muslim ki lash Koffay ki galioun me a gai,

kaisy kahoo k paoun me rassi thi ek bandhi,

galoyon me jis ko kehnch k chalta tha ek shaqi,

baykas pe abar-e-zulm barasta hua mila,

Kuffay k dar me ser bhi tu latka hua mila.

             640


Naam Hai Mera Muslim MAi Aseer e Hussain Hun
Mai Rooh e Karbala Hun Safeer e Hussain Hun
Pehla Hun Mai Shaheed Hareefan e Deen Ka
Azam e Imam e Asar Zameer e Hussain Hun.

             641


Imam Hussain Ny Muslim Bin Aqeel Ko Kufa Walo K
Khatoot K Jawab Mai Kufa Rawana Kia To Ap Farmatay Hain
K Mola Meri Wahan Haisiyat Kia Hogi?
Imam Hussain a.s Farmatay Hain K
Kaghaz Or Qalam Lao Mai Tumhain Tumhari Haisiyat Likh Du.
Imam Likhtay HAin........

Paimaan e Anwaar E Jalli Bhej Raha Hun
Mai Khud Hun Wali Or Wali Bhej RAha Hun
GAr Tum Ne Mujhe Is Dour Ka Samjha HAi Mohammad
To MAi Apnay Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hun....

             642


Ghum e Eid

Kuchal K Pattiyon Ko Qadam Barh Jata HAi
Na Ho Koi Marham To Zakham Barh Jata Hai
Manata Nahi Mai Eid Ul Fitar Or Eid Ul Azha
Mohsin In Mai Aal e Abba Ka Gham Barh JAta Hai.

             643


Tab Dehan Mai Shabbir K Muslim Ye Pukaray
Kaaba Mai Ho Ya Rah Mai, Mai Sadqay Tumharay

Ab Kat Ta Hai Sar Logon Tamashahi Hain Saray
Dekho Mere Aaqa Meri Hasrat K Nazaray

Aijaaz Se Parday Meri Aankhon Se Utha Do
YA Sibt e Nabi Akhri Deedar Dikha Do

Haatif Ny Nida Di Ye Mohammad K Khalaf Ko
YA Sibt e Nabi Dekhiye Kofay Ki Taraf Ko

Qaatil Se Wahin Kehnay Lagay Muslim Ranj'or
Hasrat Meri Puri Hui Aa Zalim Mukhor

Ab Kat K Sar Yahin Marnay Ka Maza Hai
Aaqa Mera Is Waqt Mujhe Dekh Raha Hai
             644


"Jo shakhs khud apni zaat se khush rahega us se naraz honay waale zyada honge"
Imam NAQI_a.s

Ref: Naqoosh-e Ismat

             645


S.BAQRA.215

Log AAP_saww se Puchte hen Hum Kya Kharch kren?
Javab Dijye k
Jo Maal b Tum Khrch kro Us k Awaleen Haqdar Waldain hen

NABI-E-KAREEM saww

Wo Admi Zalil ho Phr Zalil ho Phr Zalil ho Js ne Maa Baap ko Burhape ki Halat men Paya aur Phr (Un ki Khdmat kr k) Janat men

na Dakhil hua(Muslim)

             646


Hum Shakal e Mustafa Bhi HAin, Hum Naam e Mustafa Bhi
Inko Jabhi Mohammad e Saani Kaha Gaya
Asmat K Asmaan K Sitaray HAin Saathwain
Or Paanchwain Imam Ka Mansab Diya Gaya
KARB O BALA Se Ly K BAQI Tak Gawah HAin
In Se Ajeeb Kar e Hidayat Liya Gaya

Aj Mere 7wain Masoom or 5Wain Imam Ki Shahadat Ka Pursa Imam e Waqt ajtf Ki Khidmat Mai Hazir Hai.
Mola Imam e Asar ajtf Humara Pursa Qabool Kijiye
Ellahi Ameen

             647


JAB BAQIR ULOOM E PAIGHAMBAR HUA SHAHEED.
DEENE KHUDA KA PUNCHWA REHBAR HUA SHAHEED.
EK JANASHEEN HAIDER SAFDAR HUA SHAHEED.
TANHA JO THA NAWASA E SHABBAR HUA SHAHEED.
WO WIRSE DAAR SIBT E RISAALAT PANAH THA....
WO KARBALA K GUM KA MUKAMMAL GAWAH THA.

             648


Rotay thay Kamar Dekh k Sajjad(AS) ki Baqir(AS),,
Janay kya Zakham Shaam mein Sajjad(AS) ne Dekhe...,

             649


Momin ki har sada ko tera intezar hey..
Eman ki baqa ko tera inteazr hai..
Tu hi suna sakey ga sahi MAQTAL-E-HUSSAIN(a.s)
Har MAJLIS-S-AZA ko tera intezar hai..

             650


Hazrat imam mohamad baqir<a's> farmatay hy!
Imam hussain<a's> ki zari k pas jo bi dua mangi jay wo mustijab hoti hy
~ SHOUKAT WAHA MAKLOKAY KHUDA RAD NAHI HOTI
NADAR KI SAHIL KI SADA,RUD NAHI HOTI
AHZAZ HY DURBARAY HUSAIN IBNE ALI <a's> KA
SHABIR(A.S) K ROZAY PAY DUA RUD NAHI HOTI~

Ref> BAHARUL ANWAR
JILD#98 PG#69

             651

"*Farman-e-Imam ALi (A.S)*"

"" BakheeL (Kanjoos) Shakhs Dunia Main Faqiron Ki Tarha Rehta Hai
or
Akhirat Main Us Se Ameeron Jesa Hisab Lia Jaye Ga.""

Gararul hakam h#8373

             652



HUSSAIN Deen ki bqa hn to pasban SAJJAD,
Hmary wasty hn Meere karwaan SAJJAD,
Inhen khabr hy ayyan kia he or nihan kia hy,
Mizaje Khaliqe Yazdan k razdan SAJJAD,
Wo ranjo gham sahey jiski nahin misaal koi,
Tumhara krta he MATAM hr ik Jawaan SAJJAD A.S.

             653


S.AHZAB.57

Be_Shak jo Log ALLAH aur Us k Rasool_saww ko Taklif dete hen
ALLAH Dunya aur Akirat men Un pr La'nat Farmata h
aur Us ne Aise Logon k Liye Zilat Aamiz Azab Tayar kr Rakha h

NABI-E-KAREEM saww:

Jis ne ALI_as ko Gaali Di Us ne Mujhe Gaali
 Di aur Jis ne Mujhe Di Us ne ALLAH ko Gaali di

KITAB-AHL E SUNAT

AL Khasa'is-96 Imam Nisa'i

Riazul Nazra-3/297 Imam Muhib Tabri

Tarikh e Khulafa-307 Imam Sauti

Kanzul Matalib-105 Dr Tahirul Qadri

             654

"Jan lo! KHUDA Apne Unn Bandon Ko Bulnd Tareen Rutbe Atta Farmata Hy
 Jo Zindagi Mein Ziada Sakhteon Ko Bardasht Karein"

~IMAM HUSSAIN a.s~

            
655


S.NISA.36

AUR ACHA SILOOK KARO

Maa Baap k Sath

Qurabat Daron k Sath

Yatimon k Sath

Gharibon k Sath

Parosi k Sath (Rishtedar)

Aur Us Parosi k Sath (Rshtdar na ho)

Sathi k Sath

Aur Musafr k Sath

Aur Un Zer e Daston k sath jo tmhare Qabze men hon (Ghulam,Mulazim)

NABI-E-KAREEM saww

Kamil Eman Wale Momin wo hn jo Apne Ikhlaq men sb se Ache hon(Tirmizi)

Imam Ali_as

Nasihaten kitni Zyada hn Aur In se Asar Lena kitna kam h (Nehjul Balagha)

             656


HAZARAT IMAM MEHDI ajtf SAYS
Shukar Guzar K Shukar Ki Sa'adat Us Neamat Ki Sa'adat Se Ziada Hai
Jis Ki Bina Par Us Ne Shukar Kia Hai.Is Lia K,
Neamat Zindagi Ki Hajjat Hai
LekinShukar Neamat B Hai Or Jaza B Hai.

Guftare Dil Nasheen P# 221

             657

" Insan k Aansu Us Waqt Muqaddas Hotay Hay.

Jab wo kisi Or k Dukh Or Takleef Ko Mehsus Kar k Niklay...
 "Hazrat ALi (A.S)"

             658


"Agar Aap Ki Aankh Khobsurat Hai Tu Aap Ko Dunya Achi Lagay Gi.
 Lekin Agar Aap ki Zuban Khobsurat Hai Tu Aap Dunya ko Achy Lago Gay.

             659


Imam Dailmi Ne Hzrt Abdullah Ibne Abbas_ra se Riwayat kya

NABI-E-KAREEM saww Ne Farmaya

Shab e Mairaj Mene Arsh par Likha Hua Dekha
"ALLAH k Siwa ko'i Ma'bud Nhi Wo Akila h Muhammad_saww Allah k Rasool aur Bande hen
 aur ALI_as k Zariye Un ki Madad o Taa'id ki ga'i

KITAB-AHL E SUNAT

Riazul Nazra-3/323

Zakhairul Uqba-HDS-6

Yanabiul Mavadat-383

Arjahul Matalib-820

Kokib Durri-182

             660


"IMAM  HASSAN (A.S)"

Logo k sath musahiba or dosti is tarha anjam dai
jesa k to chata hai k wo tere sath dosti or rafaqat anjam dain.
Ref:
BAHAR-UL-ANWAR

             661


Zaid bin Khaarija_ra (AAP saww k Ghulam)

NABI-E-KAREEM saww Ne Farmaya

ALLAH ne Hzrt Musa_as ko Asa Inayat Frmaya,
Hzrt Ibrahim_as ko Sard ki hu'i Aag Ata Farma'i,
Hzrt Eesa_as ko Wo Kalmaat Ata Farmai Jin se Wo Murdon ko Zinda karte thy,
Aur ALLAH ne Mujhe ALI_as Ata Farmaya h

KITAB-AHL E SUNAT

Kokib Durri-221 Allama M Suleh Tirmizi

             662
...::: SaFeer-E-Aza
    SMS CLUB :::...

HZRAT IMAM MUSA KAZIM A.S
ny farmaya

Momin trazo k pallon ki trha hy jab bhi
es ky eman main ezafa hoga bala main bi ezafa hoga.

Tohfuloqol
P#231
F#7

             663

"Fakher-o-sar 'bulandi ko choRo,
takabbur-o-gharoor ko miTao, aur qaber ko yaad rakho."

Mola Ali as
NehjulBlagha
hikmat#398

             664


Pait Or Jinsi MasaaiL Me Be'Rah-Ravi Se Bachna AfzaL Tareen iBadat Hy.
"
ÄLLÄH<j'j> Bad-KhaLQ Or Bad-KaLam Logo'n Ko Psand Nhi Krta.
"
MÖLÄ iMÄM MÖHÄMMÄD BÄQiR<a's>
JN-P#182

             665


Jang-e-Tabook Se Wapsi Per Khutba Detey Hue
NABI-E-PAAK (S.A.W.W) Ne Irshad Frmaya:

"MEIN (SAWW)
Dekhta Hoon K Jab Aal-e-Ibrahim Ka Tazkra Hota Ha,
Tou Tumharey Chehrey Khil Uthtey Hein,
Lekin Jab
AAL-E-MOHAMMED (S.A.W.W) Ka Zikar Hota Ha To Tumharey Chehrey Aise Bigar Jatey Hein
K Jesey Kisi Ne In Par Angaroun K Daney Khainch Marey Houn

KHUDA Ki Qasam!
Agar Roaz-e-Qayamat Tum Paharon K Barabar Aamal Lae Kr Aao Lekin Agar
ALI IBN-E-TALIB (A.S) Ki Wilayat Naa Mani Tou KHUDA Tumhein Dozakh Mein Jhounk Dae Ga

Ref:
(GHAYA TUL MARAAM)
BY
(AMAALI SHAIKH TOOSI)

             666


¤ZULFIQAAR¤

Abu Turab ne jab mujh ko bay Niyam kia,
Adab sy pehlay tu mene unhain Salam kia,

Qadam ko choom K MOLA say phir kalam kia,
K Yad kesy mujhay Ay merey Imam kia?

Kahein to meydan ko Lashoon say Paat kar rakh dun,
Faqat Badan nahi Roohoun ko kaat kar rakh dun.

             667


iMAM HASSAN<a.s> Farmate Hain:
Maine Apni Maa FATiMA ZEHRA<s.a> Ko Shab_E_Juma Raat Bhar
Subha Sufaid Sahar Hone Tak Namaz Parhte Daikha
Aur Puri Raat Sirf Momineen O Mominaat Ka Naam Le Kar Kasrat Se
Dua Karte Hue Sunta Raha, Aur Iss Darmiyan Apne Leay Koi Dua Nai Farmai,
Maine Arz Kia: Maa Jis Tarah Aap Doosr0n K Leay Dua Kar Rahi Hain Apne Leay Kyun Nai Ki?
BiBi<s.a> Ne Farmaya: Beta Pehle Parr0s Wale Phir Ghar Wale...
_
Ref: Bait_Ul_Ehzaan,
Page#22..


             668


Hai Hukum-E-Kibriya Ki Itaa'at Namaz Men,,,
Waajib Hai Bandagi Ki Riwaayat Namaaz Men...


Sajjde Men Hain RASOOL (s.a.w.w),,

To Hain Pusht Par HUSSAIN (a.s),,,
Donon Ki Ho Rahi Hai Ibaadat Namaz Men..



SHABIR (a.s) Ki Namaaz Qaza Hai.??

NAHIN NAHIN,,,
Dosh-E-RASOOL Par Hai Imaamat Namaaz Men..



Paakeezgi-E-Rooh-O-Badan Hai ALI (a.s) Ka Piyaar,,,
Hai Is Liye To Shart Tahaarat Namaaz Men..



Khair-Ul-Ammal Ko Chhor Kar Parrhte Hain Jo Namaaz,,,
Karte Hain Wo KHUDA Se Sharat Namaaz Men..........

SHOKAT RAZA SHOKAT

             669:::...

" Jo shakhs kisi ki madad karnay se apnay hath roak leta hai
to uski apni madad ko barhnay walay 70 hath ruk jatay hain "

Maula Imam Ali (A.S)

             670


"Logon k dilon
? may apna maqam is tarah bana lo k
mar jao to tumharay liye DUA kren or
zinda ho to tum say milne ko tarsa krain.''
Hazrat Ali (A.S)

             671


Aa B ja Prda-e GHEBAT Se Zmany k IMAM A.S
tery LabSe tery jad ki kahani SunLen

Hum Azadaron ki Bas Akhri Hsrat hy Yehi
Noha SHABiR A.S ka Ek teri Zubani SunLen

             672


Hazrat Imam Ali (A.S)
*Yaqeenan Jannat walay hamaray Shia'oun ko aisay he dekhtay hain
jaisay k Insan Aasman k Sitraon ko dekhtay hain.*
Ref:Behrul Anwar

             673


1 shakhs ny NABI PAK
sy arz kia

Main chahta hon k meri doa qabol ho
AAP ny frmaya
apni gheza ko pak rakh & hram ko apny pet mn dakhil na kr

Gonahankbera
P#522



Fuqaha mein se jo b Fiqhya (Mujtahad) Apny Nafas ko Bachany wala,
Apny Deen ki Hifazat Karny wala, Hawahishat e Nafsani ki Mukhalafat karny wala Aur apny MOLLAH k Hukam ka tabae (farama

brdaar) ho
to Awam par Wajib ha k us ki TAQLEED Krain.

IMAM HASSAN ASKRHI AS.

Talib-e-Dua

             675

<baat ka aser>

Mola-e-Kainaat
Hazrat ALI (as) nay fermaya:

"Bohat say kalmay humlay say ziada aser-o-nafooz rakhtay hein."

NehjulBlagha
hikmat#394

          
   676

Imam Haakim ne Maula Imam Ali_as aur Imam Ibne Hajr Maki ne Hzrt Abu Bakar_ra se Riwayat kya

NABI-E-KAREEM saww ne Farmaya

Ko'i b Pul e Sirat se Nhi Guzar Sakta jab tak ALI_as Us k Parvaana e Raah daari (Passport)par Mohar na Laga  dy

KITAB-AHL E SUNAT

Riazul Nazra-J-3-P-335 Imam Muhib Tabri

Savaiqul Muhraqa-429 Imam Ibne Hajr Maki

Yanabiul Mavadat-456 Qunduzi Hanfi

Arjahul Matalib-905 Allama Amar Tasri

Kokib Durri-212 Allama Suleh Tirmizi


             677


Rasool S.A.W.W Ne Farmaya:

"jo Koi Banda Khany Peeny K Baad
ALHAM-DU-LILLA Keh Kr Aik Martaba
"Sureh ikhlas"Parhy Ga is K Ghar Me Rizq Ki Qushadgi Hogi
Or is K Ghar Mein Kabhi Faqah Nhi Hoga
Or Jub Tk Wo Khana Tmhary Pait Mein Mojod Rahy Ga
is Khany Ka Aik Aik Dana ALLAH Ka Zikr Krta Rahy Ga
jis K Barkat Sy Tmhara Chehra Munawar Rahy Ga"

         
    678

"Woh shakhs sakht tareen saza ka mustahiq ho ga jo naiki ka badla burai say day ga"
Hazrat Ali alahesalam
REF:
Meezan ul Hikmat jild 2,page 277

             679

Ehsaan insan ko ghulam bana leta hai magr ehsaan jatlana ehsaan ko brbad kar dalta hai.
MOLA ALI(A.S)

             680


"Shetaan Us Waqt Tak Momin Se Door aur Naraz Rehta Hai Jab Tak\
Woh Apni Namaz Ki Hifazat Aur Pabandi Karta Hai."
         Hzrt Moula Ali As

             681
Aj jo kch hmare pas h wo Hussain ka Sdqa hai
[Imam Khumeni]

Hussain ki Azdri na hoti to hm bi na hote
[Shahed Baqir Sadr]

Fath-o-Kmyabi ka dosra nam Hussain hai
[Mosa Sadr]

Hub-e-Hussain bqa-e-Islam ki zamin hai
[Rahbar khmenei]

Ye Hussain hi hai jis ne hme jina sikhaya
[Ayutullah Sistani]

Js tarha pani k bgher machli znda nai rh skti hum bi Azdri k bgher znda nai rah sakte
[Arif Hussaini]

Azdri zlimo k mo pe tmncha hai
[Dr.M.Ali Nqvi]
             682


Rehman B Khud Uski Raza Mang Raha H
Or ibn-e-Pyambr Ki Wila Mang Raha H
Bandy To Sada Mangty Rhte Hen Khuda se
Karbal Me To Bande S Khuda Mang Raha hy.

             683

Ali ka naam zamanat hy kamyabi ki!
Ali k piyar se jannat zaroor milti hy!
Ali k bughz may kuch or milay ya na milay!
Magar ye tay hy k laanat zaroor milti hy!

             684


"Jo shakhs khud apni zaat se khush rahega us se naraz honay waale zyada honge"

Imam Ali NAQI_a.s

Ref: Naqoosh-e Ismat

             685

Jb Qafla Ruka Tha SHEREN K Ghar Par
Mastorat Then Ghar Men Or SAJJAD (a.s) Tha Dar Pr
KHUDAYA Koi Aise Bhi Ujarte Hain Sharif Zamane Men
Lashe The Sare Karbal Men Or Khak Thi ZAINAB (s.a) K Sir Par.

             686

Ay hasham,her sheh k liay dalel hai or aqalmand ki dalel
ghouro fiqr karna or ghouro fiqr ki dalel khamoshi hai!

Imam MOSA KAZIM AS.

             687


Lakh Dunya Me Hain Mojud shimar,
ziad-o yazeed, Ek SHABBIR a.s Ki Aamad Ki Saher Baqi Hai,
In Jaloosun Pe Zara Soch K Hamla Kerna,
Bani Hashim Ka Abhi Aik Qamar a.s Baqi Hai....
!AL AJAL YA IMAM-E-ZAMANA (ajtfs)

             688


" Barish na samajh isko aye banda-e-momin
 Arsh ko maloom hay gham-e-Hussain karib hay.."
(SALAWAT)

             689


"WALIYAT.E.ALI OR DOZAKH"

"RASOOL.E.KHUDA(saww)" Say Rewayat Hay  "ALLAH(jj)" Nay Farmaya:
Agar Tamam Log "ALI(as)" Ki
"Waliyat" Per Jama Hojatay To May "Dozakh" Ko Paida He Na Karta.

Book Ref:
Manaqib.E.Ahlaibait Jild 1 Page 333
             690


"HUMARI WILAYAT ALLAH(JJ) KI WILAYAT HAY"

IMAM JAFFAR SADIQ(as) Nay Farmaya:

"Humari Wilayat ALLAH(jj) Ki Wilayat Hay, Koi Bi NABI(as) Is Wilayat
K Baghair Mubos(paida) Nai Howa"

Book Ref:
Manaqib.e.Ahlaibait(as)
Jild 2 PG64

             691

Imam Ahmad bin Hanbal Ne Maula Imam Ali_as se Riwayat kya

NABI-E-KAREEM saww Ne Farmaya

Ya Ali_as jo Teri Moat k bad Tum se Muhabat karte hui Mara
ALLAH us par Aman wa Eman ki Mohar Laga dega

KITAB-AHL E SUNAT

Riazul Nazra-3/302 Imam Muhib Tabri

Savaiqul Muhraqa-429 Imam Ibne Hajr Maki

Yanabiul Mavadat-200 Haafiz Suleman bin Ibrahim Qunduzi Hanfi

             692


Pehan k khaakh shafa ka ahtraam sar bar hana tawaaf kr k,
Hussain "a.s" teri Lahad ko ka'aba bna gai he Ali "a.s" ki beti,

Kai khazanay safar k daoraan kar gai khaakh k hawalay,
K patharon ki jarhon men heeray chopa gai he Ali "a.s" ki beti,

Yaqeen na Aiy to köofa w shaam ki fiza'on se poch lena,
Yazeediyat k Naqash saaray mitta gai he Ali "a.s" ki beti,

       
      693


Jab Koi Kaam Tumhari Marzi Ke Mutaabiq Ho Jaye...

Tou Shukar Adaa Karo K ALLAh Ne Tumhari Marzi Ko Itni Ehmiyat Dee..


Aur Agar Tumhari Marzi K Khilaaf Ho tou..


Aur Ziyada Shukar Adaa Karna Chahiye K..

Ab Wo ALLAh Ki Marzi Se Ho ga...

Jo Hamari Marzi Se Behtar Aur Bohat Afzal Hai.

         
    694


Har kisi ko DoLat-e-iSHQ e-ALi Milti Nahi,
   ¤MALANG¤

Pehly Maa ko Sahib-e- kirdar hona chahiye

             695


Zehno ki tarbiyat ka idara kahen tujhy

Kirdar Wo k Sani-e ZEHRA-sa Kahen tujhy

toofa'n ka Samna ho jabee'n Pr Shikan Na ho

Ghar Bhar k Zabt-e Gham ka Sahara kahen tujhy

Waj-hy Sakoon Ban Gaen teri tasaLLiya'n

Be-Pardagi ki Dhoop Me Saya kahen tujhy

             696


Hzrt Ans_ra

NABI-E-KAREEM saww ne Frmya

Ae Giroh e Muslimin!

KHUDA ki La'nat aur Tamam La'nat karne Walon ki La'nat Us Shaks par Jo Ali_as se Bughz Rakhe
ALLAH aise Admi se Bezaar h aur Men b Bezaar hon

LAZMI h k Hazreen is bat ko Un logon Tak Puhnchain jo Yahan Mujood Nhi

ALLAH ne Mujhe Is bat k Puhnchane ka Hukm dya tha So Mene Puhncha dya

KITAB-AHL E SUNAT

Riazul Nazra-1/89

Zakha'irul Uqba-HDS-208

Yanabiul Mavadat-348

Kokib Durri-195

             697


ALi* Zameer-e-Junoo'n, Meer-e-Karvan-e-Khird

ALi* Shaoor-e-imamat, ALi* Ghuroor-e-Samad

ALi* Ameen-e-Ramooz-e-RASOOL*, Fikr-e-AHAD

ALi* DaLair, Bahadur, Sakhi, Kareem, Asad

ALi* K Zikr Se Jannat WusooL Hoti Hy

Baghair iss* K Dua Kab QabooL Hoti Hy.
"
Aamad-e-Ghadeer MUBARAK*

             698


Usol e deen na bachaty jo karbla waly,

waraq waraq py kahani bikhar gai hoti.
Bacha gya usy sajda Hussain ka wrna,

namaz asar sy phly he mar gai hoti.
             699


Bicha Dalo Saf-e-Matam Tum Apne Apne Aangan Mein,
K Bs Lutnay Hi Wala Hai Chaman UMME ABEEHA "s.a" Ka.

[Salam Ya Syeda (S.A)]

             700


"Jo shakhs khud apni zaat se khush rahega us se naraz honay waale zyada honge"

Imam Ali NAQI_a.s

Ref: Naqoosh-e Ismat

No comments:

Post a Comment